Buraaī Yā Accẖaaī (Iṅjeel : Yuhannā 18:1-40, 19:1-6)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Buraaī Yā Accẖaaī

Iṅjeel : Yuhannā 18:1-40, 19:1-6

 

Īsā(a.s) ibaadat karne ke baad apne shaagirdoṅ ke saath Kirdoṅ naam kī ek waadī ko paar kar ke ek baaġ me pahuṅche.(1) Īsā(a.s) kā shaagird Yahudā unko dhokā dene ke liye wahaaṅ se jā chukā thā. Wo jaantā thā ki ye jagah kahaaṅ hai kyuṅki Īsā(a.s) apne shaagirdoṅ se yahaaṅ par kaī baar mil chuke the.(2) Yahudā Romī faujiyoṅ ko saath le kar us baaġ me ā pahuṅchā. Wo apne saath Yahudī imaam aur phareesī ustaadoṅ ke kucẖ paharedaaroṅ ko bhī laayā thā. Wo log apne haathoṅ me mashaaleṅ, laalṯen aur hathiyaar liye hue the.(3)

Īsā(a.s) jaante the ki unke saath kyā hone waalā hai. Islie Īsā(a.s) ne baahar nikal kar pucẖā, “Tum log kisko ḏhuṅḏh rahe ho?”(4) Un logoṅ ne jawaab diyā, “Ham Naazreth ke Īsā ko ḏhuṅḏh rahe haiṅ.” Īsā(a.s) ne unse kahā, “Maiṅ hī wo huṅ.” (Yahudā, jo Īsā(a.s) ko dhokā de rahā thā, waheeṅ unke saath khaḍā huā thā.)(5) Jab Īsā(a.s) ne kahā, “Maiṅ hī wo huṅ,” to wo log peecẖe haṯe aur zameen par gir gae.(6) Īsā(a.s) ne phir se pucẖā, “Tum kisko ḏhuṅḏh rahe ho?” Un logoṅ ne kahā, “Ham Naazreth ke Īsā ko ḏhuṅḏh rahe haiṅ.”(7) Īsā(a.s) ne unse phir kahā, “Maiṅ tumko batā chukā huṅ ki maiṅ hī wo huṅ. To agar tum mujhe hī ḏhuṅḏh rahe ho to in logoṅ ko jaane do.”(8) Ye sab is tarah se huā ki Īsā(a.s) kī kahī huī har baat sach hone waalī thī: “Tune mujhe jitne bhī log die maine un sab kī hifaazat karī.”[a](9)

Janaab Shamun Patras ke paas talwaar thī. Usne wo talwaar nikaal kar imaam ke ġulaam par hamlā kar diyā jisse uskā ek kaan kaṯ gayā. (Us ġulaam kā naam malkhus thā.)(10) Īsā(a.s) ne janaab Patras se kahā, “Apnī talwaar ko miyaan me rakh lo. Kyā jo zimmedaarī Allaah taa’alā ne mujhe dī hai maiṅ wo aṅjaam nā duṅ?”(11) Un faujiyoṅ aur Yahudī paharedaaroṅ ne Īsā(a.s) ko giraftaar kar ke baaṅdh diyā.(12) Aur pahale ek imaam ke paas le kar gae jiskā naam Anas thā. Anas us saal ke sabse baḍe imaam, Kaaifā, kā sasur thā.(13) Kaaifā wahī ādmī thā jisne Yahudī logoṅ se kahā thā, “Ye accẖā hai ki purī qaum ke liye ek ādmī qurbaan ho jaae.”(14)

Janaab Patras aur Īsā(a.s) kā ek dusrā shaagird bhī unke peecẖe-peecẖe saath gae the. Ye shaagird wo thā jo baḍe imaam ko jaantā thā. To wo Īsā(a.s) ke saath us imaam ke mahal ke āṅgan me chalā gayā.(15) Lekin janaab Patras waheeṅ darwaaze ke baahar ruk kar iṅtazaar karne lage. Wo shaagird jo baḍe imaam ko jaantā thā aṅdar se baahar āyā. Usne darwaaze ke paharedaar se baat karī aur janaab Patras ko bhī apne saath aṅdar le gayā.(16) Darwaaze ke paas ek ġulaam laḍkī ne janaab Patras se pucẖā, “Kyā tum bhī us ādmī ke shaagirdoṅ me se ho?” Janaab Patras ne jawaab diyā, “Naheeṅ, maiṅ naheeṅ huṅ!”(17) Wo sardī kā waqt thā, islie naukroṅ aur paharedaaroṅ ne āg jalaaī thī. Wo uske chaaroṅ taraf khaḍe ho kar āg kī garmī le rahe the. Janaab Patras bhī unke saath khaḍe ho kar haath seṅkne lage.(18)

Usī waqt, baḍā imaam Īsā(a.s) se unke aur shaagirdoṅ ke baare me sawaal pucẖ rahā thā.(19) Īsā(a.s) ne jawaab diyā, “Maine khuleaam logoṅ se baat karī hai. Maine hameshā logoṅ ko ibaadatagaahoṅ me paḍhaayā hai jahaaṅ Yahudī log jamā hote the. Maine kabhī bhī koī baat cẖupā kar naheeṅ kahī.(20) To tum mujh se sawaal kyuṅ pucẖ rahe ho? Un logoṅ se pucẖo jin logoṅ ne mujh se taaleem lī hai. Wo jaante haiṅ jo maine kahā hai.(21) Jab Īsā(a.s) ne ye kahā to wahaaṅ khaḍe ek paharedaar ne unko maarā. Us paharedaar ne kahā, “Kyā imaam se baat karne kā yahī tareeqā hai?”(22) Īsā(a.s) ne paharedaar se kahā, “Agar maine kucẖ ġalat kahā hai, to mujhe bataao usmeṅ kyā ġalat hai, aur agar ye baat ṯheek hai to tumne mujhe kyuṅ maarā?”(23) Tab Anas ne Īsā(a.s) ko Kaaifā ke paas bhej diyā jo sabse baḍā imaam thā. Un logoṅ ne Īsā(a.s) ko abhī bhī baaṅdh rakhā thā.(24)

Janaab Shamun Patras abhī bhī waheeṅ āg kī garmī le rahe the. Unhone usse pucẖā, “Kyā tum is ādmī ke shaagirdoṅ me se naheeṅ ho?” Patras ne manā kar diyā aur kahā, “Naheeṅ, maiṅ naheeṅ huṅ.”(25) Baḍe imaam kā ek ġulaam wahaaṅ maujud thā. Ye us ġulaam kā rishtedaar thā jiskā kaan janaab Patras ne kaaṯā thā. Us naukar ne pucẖā, “Kyā tumko maine us baaġ me inke saath naheeṅ dekhā thā?”(26) Janaab Patras ne phir se wahī jawaab diyā, “Naheeṅ!” Usī waqt murġe ne baaṅg dī.(27)

Uske baad wo log Īsā(a.s) ko Kaaifā ke ghar se le kar Romī gawarnar ke mahal ke paas pahuṅche. Us waqt tak subah ho chukī thī. Yahudī log us mahal me naheeṅ jā rahe the kyuṅki wo log apne āpko gaṅdā naheeṅ karnā chaahte the.[b] Wo log fasah kī eid kā khaanā khaanā chaahte the.(28) Islie Romī gawarnar jiskā naam Peelaatus thā, unse milne baahar āyā. Usne pucẖā, “Is ādmī ne kyā jurm kiyā hai?”(29)

Unhone kahā, “Ye gunaahgaar hai. Islie ham ise āpke paas laae haiṅ.”(30) Peelaatus ne unse kahā, “Iskā faislā apne qaanun ke mutaabiq ḳḥud hī karo. Un logoṅ ne jawaab diyā, “Lekin hamko ijaazat naheeṅ hai ki ham kisī ko maut kī sazā deṅ.”(31) Ye bilkul waise hī sach ho gayā ki jis tarah Īsā(a.s) ne kahā thā ki unko qatl kiyā jaaegā.(32) Tab Peelaatus waapas mahal ke aṅdar chalā gayā. Us ne Īsā(a.s) se aṅdar āne ke liye kahā aur unse pucẖā, “Kyā tum Yahudiyoṅ ke baadshaah ho?”(33) Īsā(a.s) ne jawaab diyā, “Kyā ye tumhaarā ḳḥud kā sawaal hai yā tumheṅ dusre logoṅ ne mere baare me bataayā hai?”(34)

Peelaatus ne kahā, “Kyā maiṅ Yahudī huṅ? Ye tumhaare ḳḥud ke imaam aur log haiṅ jo tumheṅ mere paas laae haiṅ. Bataao tumne kyā jurm kiyā hai?”(35) Īsā(a.s) ne jawaab diyā, “Merī saltanat is duniyā kī naheeṅ hai. Agar merī saltanat is duniyā kī hotī to mere sipaahiyoṅ ne laḍ kar Yahudī rahanumaaoṅ se mujhe bachā liyā hotā. Lekin merī saltanat is duniyā me se naheeṅ hai.”(36)

Peelaatus ne phir se wahī kahā, “To tum baadshaah ho!” Īsā(a.s) ne jawaab diyā, “Tum kahte ho ki maiṅ baadshaah huṅ, jo ek sach hai. Maiṅ is kaam ke liye paidā kiyā gayā huṅ: Ki logoṅ ko sach batā sakuṅ. Maiṅ is duniyā me islie hī bhejā gayā huṅ aur jo log sacche haiṅ wo hī merī baat sunte haiṅ.(37) Peelaatus ne kahā, “Sach kyā hai?” Ye sab kahne ke baad wo baahar Yahudiyoṅ ke paas gayā. Usne unse kahā, “Is ādmī par lagaayā gayā jurm saabit naheeṅ hotā ki jiske liye maiṅ ise sazā sunaauṅ.(38) Tumhaare reetī-riwaaj ke mutaabiq maiṅ fasah kī eid ke din tumhaare ek qaidī ko āzaad kartā huṅ. Kyā tum chaahte ho ki maiṅ is ‘Yahudiyoṅ ke baadshaah’ ko āzaad kar duṅ?”(39)

Wo sabhī cheeḳḥ kar bole, “Naheeṅ, isko naheeṅ! Baraabbas ko āzaad kar do!” Baraabbas ek luṯerā thā.(40)

 

19:1-6

Tab Peelaatus ne hukm diyā ki Īsā(a.s) ko le jā kar koḍe maare jaaeṅ.(1) Faujeeyoṅ ne kucẖ kaaṅṯedaar jhaaḍiyoṅ se ek taaj banaayā. Wo unke sar par lagaayā aur unko ek baiṅgnī raṅg kā kapḍā pahanaayā.(2) Tab wo Īsā(a.s) ke paas kaī baar āe aur bole, “Yahudiyoṅ ke baadshaah kī jay ho!” Unhone Īsā(a.s) ke muṅh par tamaache maare.(3) Peelaatus phir baahar āyā aur kahā, “Dekho! Maiṅ Īsā ko baahar lā rahā huṅ. Aur maiṅ tumko bataanā chaahtā huṅ ki mujhe usmeṅ aisā kucẖ bhī naheeṅ milā jiske liye maiṅ use sazā duṅ.”(4) Tab Īsā(a.s) apne sar par kaaṅṯoṅ kā taaj lagaaye aur chaaroṅ taraf baiṅgnī kapḍā oḍhe hue baahar āe. Peelaatus ne Yahudiyoṅ se kahā, “Ye rahā wo ādmī!”(5) Jab waqt ke imaam aur uske paharedaaroṅ ne Īsā(a.s) ko dekhā to wo chillā-chillā kar kahne lage, “Isko saleeb par maut kī sazā do! Isko saleeb par maut kī sazā do!”(6)