Insaaf Kā Din (Iṅjeel : Mattā 25:31-46)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Insaaf Kā Din

Iṅjeel : Mattā 25:31-46

[Īsā(a.s) ne insaaf ke din ke baare me bataayā. Unhone kahā,] “Ādmī Kā Beṯā pure nur aur taaqat ke saath lauṯegā. Wo farishtoṅ ke saath waapas āegā aur apne taḳḥt par baiṯhegā.(31)

Duniyā kī saarī qaumoṅ ke log uske saamne haazir hoṅge jinko wo do jamaatoṅ me baaṅṯ degā. Wo unheṅ aise alag karegā jaise charwaahā apnī bheḍoṅ ko bakriyoṅ se alag kartā hai.(32) Wo bheḍoṅ ko apne daahine haath kī taraf khaḍā karegā aur bakriyoṅ ko baaeṅ haath kī taraf.(33)

“Tab baadshaah apne seedhe haath kī taraf khaḍe logoṅ se bolegā, ‘Āo, tum log wahī ho jinko parwardigaar ne barkat atā karī hai. Āo, aur us saltanat ko qubul karo jo usne duniyā banaate waqt qaayam karī thī.(34) Tum logoṅ ne mujhe us waqt khaanā khilaayā ki jab maiṅ bhukhā thā. Jab maiṅ pyaasā thā to tumne mujhe paanī pilaayā. Jab maiṅ ek ajnabī thā, to tumne mujhe apne ghar par bulaayā.(35) Jab maiṅ binā kapḍoṅ ke thā, to tumne mujhe kapḍe die. Jab maiṅ beemaar thā to tum logoṅ ne merī dekhbhaal karī aur jab maiṅ qaid me thā to tum mujhse milne āe.’(36)

“Us waqt īmaan waale log sawaal kareṅge, ‘Kab hamne āpko bhukhā dekhā aur khaanā khilaayā? Kab hamne āpko pyaasā dekhā aur paanī pilaayā?(37) Kab hamne āpko ajnabī dekhā aur āpko apne ghar par bulaayā? Kab hamne āpko binā kapḍoṅ ke dekhā aur kapḍe die?(38) Kab hamne āpko beemaar yā qaidḳḥaane me dekhā aur āpkī dekhbhaal karī?’(39)

“Tab baadshaah jawaab degā, ‘Maiṅ tumko sach bataatā huṅ. Tumne jo bhī mere logoṅ ke saath kiyā, chaahe wo haisiyat me sabse cẖoṯā hī kyuṅ n thā, to wo sab tumne mere liye kiyā.'(40)

“Tab wo apne ulṯe haath kī taraf khaḍe logoṅ se kahegā, ‘Mere paas se chale jaao, tum logoṅ par laanat hai. Tum log kabhī n bujhne waalī āg me jaao, jisko Allaah taa’alā ne Shaitaan aur uske bandoṅ ke liye taiyaar karī hai.(41) Kyuṅki jab maiṅ bhukhā thā, to tumne mujhe khaane ke liye kucẖ bhī naheeṅ diyā. Jab maiṅ pyaasā thā, tumne mujhe peene ke liye kucẖ naheeṅ diyā.(42) Jab maiṅ ajnabī thā, tumne mujhe ghar par naheeṅ bulaayā. Jab mere paas kapḍe naheeṅ the to tumne mujhe kapḍe naheeṅ die. Jab maiṅ beemaar aur jel me thā to tumne merī dekhbhaal naheeṅ karī.’(43)

“Tab log pucẖeṅge, ‘Maalik, hamne kab āpko bhukhā yā pyaasā dekhā? Hamne kab āpko ek ajnabī dekhā, yā binā kapḍoṅ ke yā beemaar yā qaidḳḥaane me dekhā? Ham ne ye sab kab dekhā aur āpkī madad naheeṅ karī?’(44)

“Tab wo jawaab deṅge, ‘Maiṅ tumko ek sach bataatā huṅ. Har wo kaam jo tumne mere logoṅ ke saath naheeṅ kiyā, chaahe wo sabse neeche tabqe kā hī kyuṅ n ho, to wo tumne mere liye bhī naheeṅ kiyā.’(45)

“Tab gunaahgaar logoṅ ko hameshā ke liye sazā dī jaaegī aur nek logoṅ ko kabhī nā ḳḥatm hone waalī ziṅdagī milegī.”(46)