Khoī Huī Bheḍ Aur Sikke Kī Misaal (Iṅjeel : Luqaas 15:1-10)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Khoī Huī Bheḍ Aur Sikke Kī Misaal

Iṅjeel : Luqaas 15:1-10

Bahut saare ṯaiks wasul karne waale[a] aur gunaahgaar log Īsā(a.s) ke paas unke kalaam ko sunne ke liye āte the.(1) Fareesī log [jo Musā(a.s) ke qaanun par ḳḥud saḳḥtī se amal karte the aur dusroṅ ko bhī sikhaate the] shikaayat karne lage: “Dekho! Ye ādmī in gunaahgaaroṅ ko apne paas bulaatā hai aur had ye hai ki inke saath khaanā bhī khaatā hai!”(2)

 

Khoī Huī Bheḍ Kī Misaal

Tab Īsā(a.s) ne unko ek kahaanī sunaaī:(3) “Maan lo tum me se kisī ke paas sau bheḍ haiṅ, lekin unmeṅ se ek bheḍ kho jaatī hai. Tab wo baaqī ninyaanawe bheḍoṅ ko akelā cẖoḍ kar us khoī bheḍ ko ḏhuṅḏhne nikal paḍtā hai. Wo usko tab tak ḏhuṅḏhtā hai jab tak wo use mil naheeṅ jaatī.(4) Jab wo use mil jaatī hai to wo ādmī bahut ḳḥush ho jaatā hai. Wo usko apne kaṅdhoṅ par uṯhā kar(5) apne ghar le ātā hai. Wo apne dostoṅ aur paḍosiyoṅ ko bulaatā hai aur kahtā hai, ‘Mere saath ḳḥushī manaao kyuṅki mujhe merī khoī huī bheḍ mil gaī hai!’(6) Isī tarah se, maiṅ tumheṅ bataatā huṅ ki jannat me bhī bahut ḳḥushī manaaī jaatī hai jab ek gunaahgaar nek bantā hai. Us ek gunaahgaar ke īmaan le āne par zyaadā ḳḥushī hotī hai kyuṅki baaqī ninyaanawe accẖe logoṅ ko apne āp ko badalne kī zarurat naheeṅ.(7)

“Maan lo ek aurat ke paas chaaṅdī ke das sikke haiṅ, lekin unmeṅ se ek kho jaatā hai. Wo chiraaġ jalā kar safaaī kartī hai aur usko tab tak ḏhuṅḏhtī hai jab tak wo sikkā use mil naheeṅ jaatā.(8) Aur jab wo use mil jaatā hai, to wo apne paḍosiyoṅ ko bulā kar kahtī hai, ‘Mere saath ḳḥushī manaao kyuṅki mujhe khoyā huā sikkā mil gayā hai!’(9) Isī tarah se, jab koī gunaahgaar nek ban jaatā hai to Allaah taa’alā ke farishte ḳḥushī me shaamil hote haiṅ.”(10)