Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem
Maaṅ-Baap Aur Bacchoṅ Ke Liye Hukm
Iṅjeel : Ifisiyoṅ 6:1-4
Bacchoṅ, tum apne maaṅ-baap kā aise ḳḥyaal rakhā karo ki jis tarah tumhaarā parwardigaar chaahtā hai. Ye ek nek kaam hai.(1) Kalaam hukm detā hai, “Apne maaṅ-baap kī izzat karo.”[a] Ye pahalā hukm hai jiske saath ek waadā bhī hai.(2) Wo waadā ye hai: Agar apne maaṅ-baap kī izzat kareṅ, tab “Tumhaare sab kaam ṯheek ho jaaeṅge aur tumko duniyā me ek lambī ziṅdagī haasil hogī.”[b](3) Waalid ke liye ye hukm hai ki wo apne bacchoṅ ko ġussā nā dilaaeṅ, balki unkī parwarish apne parwardigaar ke bataae hue qaanun se kareṅ.(4)