Khushamadid

أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Auzu bilahi minaash shaitaan ar-raajeem.

Bismillah ar-rahamaan ar-raheem.

Allaah ne insaanon ki hidaayat ke liye asmaani kitaaben apne pyaare nabiyon par naazil farmaai thin. Ham sabis baat se waaqif hain ki Quraan Allaah ki bheji hui akhiri kitaab hai.

Isse pahale ki teen paak kitaabon me bhi Quraan ki tarah hidaayat bheji gayi jisko har insaan ke liye padhna zaruri hai.

Musalmaanon ke nuqta nazar se bahut kam Taurait, Zabur, aur Injeel ke tarjume maujud hain. Islie, is website par un teeno kitaabon ki kuch kuch ayaton ka tarjuma Quraan ki raushani me kiya gaya hai.

Ye afsos ki baat hai ki musalmaanon ne Taurait, Zabur, aur Injeel ko padhne aur samjhaane ki zimmedaari sirf Isaayon aur Yahudiyon ke upar chhod di hai. Hamaara in tarjumon ko karne ka khaas maqsad ye hai ki asmaani kitaabon ki hidaayat sab tak pahunchaai ja sake. Inshaallaah hamaari koshish zarur kaamyaab hogi. Ameen.

Kitaaboṅ Par Īmaan Laae (Quraan : Al-Baqarah 2:136-138, 285; Āle-Imraan 3:84)
Ḳḥudā Kī Baatoṅ Ko Koī Badalne Waalā Naheeṅ Hai (Quraan : Al-An’aam 6:34; Al-Maaidā 5:46-48)
Duniyā Kī Ḳḥilqat (Taurait : Ḳḥilqat 1:1-31, 2:1-3)
Ādmī, Adan, Aur Aurat (Taurait : Ḳḥilqat 2:4-25)
Shaitaan Kī Chaalbaazī (Taurait : Ḳḥilqat 3:1-13)
Naafarmaanī: Allaah Taa’alā Kā Jawaab: Maafī (Taurait : Ḳḥilqat 3:14-24)
Haabeel Aur Qaabeel (Taurait : Ḳḥilqat 4:1-16)
Nuh(a.s) Aur Unkī Kashtī (Taurait : Ḳḥilqat 6:5-22)
Baaḍh Kā Azaab (Taurait : Ḳḥilqat 7:1-24)
Ek Naī Shuruaat (Taurait : Ḳḥilqat 8:1-22)
Allaah Taa’alā Kā Nuh(a.s) Se Waadā (Taurait : Ḳḥilqat 9:1-17)
Ibraaheem(a.s) Aur Unkī Qaum, Nasloṅ Ko Barkat (Taurait : Ḳḥilqat 12:1-7)
Aulaad Kā Waadā (Taurait : Ḳḥilqat 15:1-7, 13-16)
Ismaaeel(a.s) Kī Paidaaish (Taurait : Ḳḥilqat 16:1-16)
Allaah Taa’alā Ne Ibraaheem(a.s) Se Ek Ahad Kiyā (Taurait : Ḳḥilqat 17:1-14)
Ishaaq(a.s) Kī Paidaaish (Taurait : Ḳḥilqat 17:15-26; 21:2, 4, 6, 8)
Beebī Haajirā Aur Ismaaeel(a.s) (Taurait : Ḳḥilqat 21:9-21)
Ibraaheem(a.s) Kī Qurbaanī (Taurait : Ḳḥilqat 22:1-19)
Ibraaheem(a.s) Se Yaaqub(a.s) Tak (Taurait : Ḳḥilqat 23:1-2, 25:7-10, 35:28-29)
Yusuf(a.s) Kī Ġulaamī (Taurait : Ḳḥilqat 39:3-12, 16-23)
Yusuf(a.s) Aur Unke Bhaaī (Taurait : Ḳḥilqat 42:1-3, 6-8, 25, 26; 43:2,19-34; 45:1-11, 25-26a, 28; 46:2-7)
Yaaqub(a.s) Aur Unke Ḳḥaandaan Waale Misr Me Phale-Phule (Taurait : Ḳḥilqat 46:29-30; 47:5-6, 27; 48:1, 8-11, 21; 49:33; 50:22-24)
Yusuf(a.s) Kā Misr Kā Safar (Taurait : Ḳḥilqat 37:1-11, 18, 21-36)
Ḳḥwaaboṅ Kī Taabeer (Taurait : Ḳḥilqat 40:1-23, 41:9, 12-27, 33-40, 46-47, 49, 55-57)
Musā(a.s) Kī Zindagī (Taurait : Hijrat 2:1-25)
Misr Ke Firaun Ko Paiġaam (Taurait : Hijrat 3:1-22)
Allaah Taa’alā Kī Nishaaniyaaṅ (Taurait : Hijrat 4:1-17)
Allaah Taa’alā Kā Waadā (Taurait : Hijrat 6:1-2, 4-12, 7:1-7)
Firaun Kī Naafarmaanī (Taurait : Hijrat 11:1-10)
Firaun Aur Uskī Qaum Par Azaab (Taurait : Hijrat 12:1-32)
Ibraaniyoṅ Kā Safar (Taurait : Hijrat 12:33-40, 14:5-31)
Ibraaniyoṅ Se Ahad (Taurait : Hijrat 19:1-9, 20:1-21)
Yaaqub(a.s) Kī Aulaadeṅ Misr Me Bastī Haiṅ (Taurait : Hijrat 1:5-12, 22)
Kitaab Aur Ahad Kā Ḳḥun (Taurait : Hijrat 24:1-18)
Sone Kā But (Ek Gaay) (Taurait : Hijrat 32:1-35)
Gunaahoṅ Kī Maafī Ke Liye Qurbaanī (Taurait : Ālim-E-Deen Kā Qaanun 5:17-19)
Allaah Rabbul Ālameen Se Mohabbat Karo (Taurait : Iaadā 6:1-25)
Pyaar Kā Ahad (Taurait : Iaadā 7:9-12, 8:1-5, 31:24-29)
Musā(a.s) Ne Qaanun Kī Kitaaboṅ Ko Likh Kar Purā Kiyā (Taurait : Iaadā 31:24-29)
Ahad Kā Saṅduk (Taurait : 2 Samuel 7:1-17)
सब्स्क्रृाईब