Ahad Kā Saṅduk (Taurait : 2 Samuel 7:1-17)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Ahad Kā Saṅduk

Taurait : 2 Samuel 7:1-17

Allaah taa’alā ne Ibraaniyoṅ ke baadshaah, Daaud(a.s), ko unke chaaroṅ taraf phaile dushmanoṅ se mahafuz kar diyā thā. Islie Daaud(a.s) ek mahal me sukun se rah rahe the.(1) Tab unhone paiġambar naathan(a.s) se kahā, “Dekhie maiṅ ek mahaṅgī lakḍī se bane hue ek āleeshaan mahal me rahtā huṅ, lekin Allaah taa’alā ke Ahad Kā Saṅduq abhī bhī ek ṯeṅṯ me rakhā huā hai! Ye wo saṅduq hai jismeṅ Allaah taa’alā ke qaanun waalī sleṯeṅ haiṅ aur Taurait shareef kī wo kitaabeṅ haiṅ jo Musā(a.s) ne likhī haiṅ.”(2)

To naathan(a.s) ne baadshaah se kahā, “Āp jo bhī karnā chaahte haiṅ, use karie aur Allaah taa’alā āpkī madad karegā kyuṅki āp uskī izzat karte haiṅ.”(3)

Us raat naathan(a.s) ko Allaah taa’alā kā paiġaam milā. Allaah taa’alā ne unse kahā,(4) “Jaao aur mere ḳḥaadim Daaud se kaho, ‘Maine ye kahā hai: Tum mere liye ghar kyuṅ banaanā chaahte ho?(5) Jab maiṅ tum logoṅ ko Misr se baahar nikaal kar laayā thā, tab mujhe ghar kī zarurat naheeṅ thī. Jis tarah se tumhaare log ṯeṅṯ me ghumte-phirte haiṅ, maiṅ bhī unke paas hī huṅ.(6) Kyā maine kabhī Ibraanī rahanumaaoṅ se kahā, (jo Ibraaniyoṅ kī dekhbhaal karte the) ki mere liye ek lakḍī kā ghar banaao?’”(7)

Tab Allaah taa’alā ne naathan(a.s) se kahā, “Mere ḳḥaadim Daaud se kahnā, ‘Allaah rabbul azeem ne ye kahā hai: Maine tumko charwaahe waale kaam se haṯā kar Ibraaniyoṅ kā rahanumā banaayā hai.(8) Tum jahaaṅ bhī gae maiṅ tumhaare saath har waqt rahā. Maine tumhaare liye tumhaare dushmanoṅ ko haraayā. Jis tarah se zameen par kucẖ logoṅ ke naam azeem haiṅ, maiṅ tumhaare naam ko bhī azeem kar duṅgā.(9) Maiṅ Ibraaniyoṅ ke liye ek mahafuz jagah banaauṅgā, taaki wo apne gharoṅ me rah sakeṅ aur unko koī pareshaan nā kar sake. Bure log ab unko aur pareshaan naheeṅ kar paaeṅge jaisā ki pahale karte the.(10) Nā hī wo ab apne āpko mushkil me ḏaal paaeṅge jaisā ki unhone pahale apnā rahanumā chun kar kiyā thā. Daaud, maiṅ tumheṅ tumhaare saare dushmanoṅ se nijaat duṅgā aur tumhaare gharaane ko bahut mazbut kar duṅgā.(11)

“‘Jab tumhaarā waqt qareeb āegā, to tumhaarā bhī iṅtiqaal hogā. Us waqt maiṅ tumhaare beṯoṅ me se ek ko baadshaah banaauṅgā.(12) Wo merī izzat ke liye ek paak ghar banawaaegā aur phir maiṅ uskī nasloṅ ko is saltanat par hameshā ke liye hukumat karne duṅgā.(13) Maiṅ uskā paalne waalā huṅ aur wo merā ḳḥaas baṅdā hogā. Wo jab bhī kucẖ ġalat kaam karegā to maiṅ usko logoṅ se sazā dilawaauṅgā. Wo log mere liye uskī ġaltiyoṅ ko sudhaareṅge.[a](14)

“‘Lekin, maiṅ usko pyaar karnā naheeṅ cẖoḏuṅgā. Maine apnī mohabbat aur raham baadshaah Shaaul se cẖeen lī thī, jo tumse pahale hukumat kartā thā. Maine usko baadshaahat se haṯā diyā kyuṅki usne mere qaanun par amal naheeṅ karā thā.(15) Lekin, tumhaarā gharaanā aur tumhaarī saltanat mere saamne hameshā rahegī aur tumhaarī hukumat kabhī bhī ḳḥatm naheeṅ hogī.’”(16)

Jab wo Allaah taa’alā kā paiġaam sun chuke, to naathan(a.s) ne ā kar Daaud(a.s) se wo sab bataayā jo Allaah taa’alā ne unse bataane ke liye kahā thā.(17)