Maaṅgo, Talaash Karo, Aur Dastak Do. (Iṅjeel : Mattā 7:1-14)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Maaṅgo, Talaash Karo, Aur Dastak Do.

Iṅjeel : Mattā 7:1-14

[Īsā(a.s) ne logoṅ ko taaleem dete hue kahā,] “Tum dusroṅ ke liye saḳḥtī se faislā nā karo aur tumhaare liye bhī naheeṅ kiyā jaaegā.(1) Tum jis tarah se dusroṅ ke hak me faislā karte ho, tumhaare liye bhī usī tarah se faislā kiyā jaaegā. Allaah rabbul kareem tumheṅ bhī waise hī maaf kar degā jaise ki tum dusroṅ ko kar dete ho.(2) Tumheṅ apne bhaaī kī āṅkh me paḍī huī thoḍī sī dhul kaise dikh jaatī hai, jabki ḳḥud apnī āṅkh me paḍī huī gaṅdagī tumheṅ pareshaan naheeṅ kartī?(3) Tum apne bhaaī se kahte ho, ‘Bhaaī, āo maiṅ tumhaarī āṅkh ko saaf kar duṅ.’ Tum ye kyuṅ kahte ho? Tum apnī āṅkh me paḍī gaṅdagī ko kyuṅ naheeṅ nikaalte?(4) Tum bahut farebī ho! Pahale apnī āṅkh saaf karo tabhī tum apne bhaaī kī āṅkh me paḍī gaṅdagī ko dekh kar nikaal paaoge.(5)

“Tum log paak cheezoṅ ko kutte ke saamne mat ḏaalo. Apne motiyoṅ ko suaroṅ ke saamne mat pheṅko. Wo unheṅ sirf apne pairoṅ ke neeche kuchaleṅge aur kutte tum par palaṯ kar hamlā kareṅge.(6)

[Īsā(a.s) ne kahā,] “Tum log maaṅgte raho aur tumko mil hī jaaegā. Apnī talaash jaarī rakho, aur tum use haasil kar hī loge. Darwaaze par dastak dete raho, aur wo tumhaare liye khul hī jaaegā.(7) Haaṅ, jo maaṅgnā naheeṅ cẖoḍegā, usī kī muraad purī hogī. Wahī use ḏhuṅḏh paaegā jo apnī talaash ko jaarī rakhegā. Us iṅsaan ke liye hī darwaazā kholā jaayegā jo us par dastak detā rahegā.(8)

“Suno! Agar tumhaarā beṯā tumse roṯī maaṅge to tum kyā karoge? Tum me se kaun hai jo use patthar degā?(9) Yā agar tumhaarā beṯā macẖlī maaṅge, to kyā tum use saaṁp doge?(10) Tum log gunaahgaar ho kar bhī ye jaante ho ki apnī aulaad ko kyā accẖī cheez denī chaahie, to phir tumhaarā parwardigaar bhī maaṅgne waale ko accẖī cheezeṅ hī degā.(11)

“Islie, hameshā tum dusroṅ ke saath waisā hī karo jaisā tum apne liye pasaṅd karte ho. Yahī Musā(a.s) kī shareeyat aur nabiyoṅ kī taaleem kā sahī matlab hai.(12)

“Taṅg darwaaze se hī [Allaah taa’alā kī saltanat ke] aṅdar jaao. Baḍā darwaazā aur āsaan raastā sirf barbaadī kī taraf le kar jaatā hai.(13) Lekin jo darwaazā cẖoṯā aur jiskā raastā taṅg ho, to wo hī tumko behatreen ziṅdagī kī taraf le jaaegā. Is raaste ko bahut hī kam log hī ḏhuṅḏh paate haiṅ.”(14)