Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem
Nijaat Paane Kā Tareeqā
Iṅjeel : Luqaas 19:1-10
Īsā(a.s) Areeḳḥā shahar se ho kar guzar rahe the.(1) Areeḳḥā shahar me Zakkaaī naam kā ek ādmī rahtā thā. Wo ek bahut ameer aur ḳḥaas ādmī thā jo ṯaiks kī wasulī kiyā kartā thā.(2) Wo dekhnā chaahtā thā ki Īsā(a.s) kaun haiṅ, magar cẖoṯe qad kī wajah se bheeḍ me unko dekh naheeṅ pā rahā thā.(3) Wo dauḍ kar us jagah par pahale se pahuṅch gayā jahaaṅ se Īsā(a.s) ho kar guzarne waale the. Wo gular ke peḍ par chaḍh gayā taaki wo Īsā(a.s) ko dekh sake.(4)
Jab Īsā(a.s) us jagah par pahuṅche, to unhone Zakkaaī ko peḍ par chaḍhā dekhā. Īsā(a.s) ne usse kahā, “Zakkaaī, jaldī se neeche āo! Āj maiṅ tumhaare ghar me ṯhaharnā chaahtā huṅ.”(5)
Zakkaaī jaldī se neeche utar āyā. Wo Īsā(a.s) ke ghar chalne kī baat se bahut ḳḥush huā.(6) Jab wahaaṅ jamā logoṅ ne ye sab dekhā to wo āpas me baḍabaḍaane lage, “Dekho! Īsā kis tarah ke ādmī ke ghar rukne jā rahe haiṅ. Zakkaaī ek gunaahgaar iṅsaan hai!”(7)
Zakkaaī ne Īsā(a.s) se kahā, “Janaab, maiṅ apnī daulat kā ādhā hissā ġareeboṅ me baaṅṯ duṅgā. Agar maine kisī se bhī beeemaanī se paisā wasul kiyā hai to maiṅ use chaar gunā zyaadā paise waapas karuṅgā!”(8)
Īsā(a.s) ne logoṅ se kahā, “Āj ke din iske gharwaaloṅ ke liye nijaat kā din hai, kyuṅki isne ye saabit kar diyā hai ki ye Ibraaheem(a.s) ke ḳḥaandaan me se hai.(9) Ādmī Kā Beṯā bhaṯke hue logoṅ ko ḏhuṅḏhne aur unko bachaane āyā hai.”(10)