Sab Cẖoḍā To Kyā Milā? (Iṅjeel : Luqaas 18:28-34)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Sab Cẖoḍā To Kyā Milā?

Iṅjeel : Luqaas 18:28-34

Īsā(a.s) ke shaagird, jinkā naam janaab Patras thā, unse bole, “Dekhiye, ham apnā sab kucẖ peecẖe cẖoḍ kar āpke saath ā gae haiṅ!”(28)

Īsā(a.s) ne unko jawaab diyā, “Haqeeqat ye hai ki jisne bhī Allaah taa’alā kī saltanat haasil karne ke liye apnā ghar, beewī-bacche, maaṅ-baap, aur apne bhaaeeyoṅ ko cẖoḍā hai to(29) unko usse bhī zyaadā milegā jitnā wo cẖoḍ kar āe haiṅ. Unko ziṅdagī me bhī kaī gunā zyaadā milegā aur āne waale waqt me abdī ziṅdagī haasil hogī.(30)

Īsā(a.s) ne apne baarah shaagirdoṅ se akele me baat karī. Unhone unse kahā, “Suno! Ham Yerushalam jā rahe haiṅ. Har wo peshangoī jo Allaah rabbul ālameen ne Ādmī Ke Beṯe ke liye apne pyaare nabiyoṅ se karī thī, wo aṅjaam paaegī!(31) Usko Romī logoṅ ke hawaale kar diyā jaaegā jo us par haseṅge, beizztī kareṅge aur us par thukeṅge.(32) Wo log usko koḍe maareṅge aur qatl kar deṅge, lekin maut ke teesre din wo phir se ziṅdā ho jaaegā.”(33)

Lekin shaagirdoṅ ko kucẖ bhī samajh me naheeṅ āyā. Is baat kā matlab un par zaahir naheeṅ huā thā, islie wo Īsā(a.s) kī baat ko samajh naheeṅ paae.(34)