Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem
Nur Aur Aṅdhere Kā Safar
Iṅjeel : 1 Yuhannā 1:5-10; 2:1-11
[Īsā(a.s) ke shaagird janaab Yuhannā ne logoṅ se kahā:] Ye paiġaam hameṅ Allaah rabbul azeem se milā aur ham tum logoṅ tak ise pahuṅchā rahe haiṅ: Allaah rabbul azeem ek nur hai aur uske aṅdar bilkul bhī aṅdherā naheeṅ.(5) To agar ham ye kaheṅ ki ham Allaah taa’alā ke bataae hue raaste par haiṅ aur phir bhī aṅdhere me chal rahe haiṅ, to ham jhuṯe haiṅ aur nekī ke raaste par naheeṅ haiṅ.(6) Lekin agar ham Allaah taa’alā ke bataae hue roshan raaste par chaleṅge to ham bhī uske dost ban jaaeṅge aur Īsā(a.s) kī qurbaanī se hamaare saare gunaah bhī maaf kar die jaaeṅge.(7)
Agar ham ye kahte haiṅ ki hamne koī gunaah naheeṅ kiye haiṅ, to ham ḳḥud ko dhokhā de rahe haiṅ, aur hamaare aṅdar sach naheeṅ hai.(8) Lekin agar ham apne gunaahoṅ ko qubul kar leṅ, to Allaah rabbul azeem hamse kiye hue waade ko purā karegā aur hamko maaf kar degā. Wo ḳḥud paak hai aur hameṅ bhī hamaare gunaahoṅ se paak kar degā.(9) Agar ham kahte haiṅ ki hamne kabhī gunaah hī naheeṅ kiye, to ham Allaah rabbul azeem ko jhuṯā kah rahe haiṅ, aur ham uske kalaam ko ġalat saabit kar rahe haiṅ.(10)
2:1-11
Mere pyaare bacchoṅ, maiṅ tumko ye ḳḥat islie likh rahā huṅ taaki tum gunaahoṅ se bacho. Lekin agar kisī ne gunaah kiyā hai, to hamaarā Maseehā, Allaah taa’alā kī baargaah me, hamaare liye fariyaad karegā.(1) Unhone nā hī sirf hamaarā balki purī duniyā ke logoṅ ke gunaahoṅ kā ḳḥud kuffaarā diyā hai.(2)
Agar ham uske hukm par amal kareṅge, tabhī ham kah sakte haiṅ, ki ham Allaah rabbul azeem ko jaante haiṅ.(3) Agar ham ye kaheṅ ki ham usko jaante haiṅ, lekin uske hukm par amal naheeṅ kareṅ, to ham jhuṯ bol rahe haiṅ. Kyuṅki phir is baat me bilkul bhī sacchaaī naheeṅ hogī.(4) Jo bhī Allaah taa’alā ke kalaam par amal karegā to Allaah taa’alā use apnī mohabbat se bhar degā.(5) Hameṅ waise hī zindagī guzaarnī chaahie jaisī Īsā(a.s) ne guzaarī thī.(6)
Mere pyaare bacchoṅ, maiṅ jo hukm likh rahā huṅ wo nayā naheeṅ hai; ye puraanā hī hukm hai, jo tumhaare paas shuru se thā. Pahale kā hukm wo hī hai jis paiġaam ko tumne sun rakhā hai.(7) Lekin maiṅ tumko ek nayā hukm bhī likh kar de rahā huṅ, jo tumhaare aur Īsā(a.s) ke saamne ek haqeeqat hai, kyuṅki aṅdherā dur ho rahā hai aur aslī nur chamakne lagā hai.(8)
Jo bhī ye kahtā hai ki wo is roshnī me hai, lekin apne bhaaī se nafrat kartā hai, to wo aṅdhere me hī rahegā.(9) Lekin wo iṅsaan roshnī me hai jo apne bhaaī se mohabbat kartā hai. Wo nā hī kabhī giregā aur nā hī kabhī bhaṯkegā.(10) Maiṅ phir se kahtā huṅ, jo apne bhaaī se nafrat karegā wo aṅdhere me hī rahegā aur aṅdhere me hī safar karegā. Wo ye kabhī naheeṅ samajh paaegā ki wo kahaaṅ jā rahā hai, kyuṅki aṅdhere ne usko aṅdhā kar diyā hogā.(11)