Yaaqub(a.s) Aur Unke Ḳḥaandaan Waale Misr Me Phale-Phule (Taurait : Ḳḥilqat 46:29-30; 47:5-6, 27; 48:1, 8-11, 21; 49:33; 50:22-24)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Yaaqub(a.s) Aur Unke Ḳḥaandaan Waale Misr Me Phale-Phule

Taurait : Ḳḥilqat 46:29-30; 47:5-6, 27; 48:1, 8-11, 21; 49:33; 50:22-24

 

46:29-30

Jab Yusuf(a.s) ko patā chalā ki unke waalid Misr ā rahe haiṅ, to unhone apnī sawaarī ko taiyaar kiyā aur unse milne ke liye rawaanā ho gae. Yusuf(a.s) apne waalid se Misr ke ek shahar Goshen me mile. Jab Yusuf(a.s) ne apne waalid ko dekhā to unhone unko gale lagaayā aur kaafī der tak rote rahe.(29) Tab Yaaqub(a.s) ne kahā, “Ab maiṅ sukun se mar saktā huṅ kyuṅki maine ab tumhaarā chehrā dekh liyā hai aur maiṅ jaan gayā huṅ ki tum ziṅdā ho.”(30)

 

47:5-6, 27

Tab Firaun, Misr ke baadshaah, ne Yusuf(a.s) se kahā, “Tumhaare waalid aur tumhaare bhaaī tumhaare paas ā gae haiṅ(5) to tum Misr me koī bhī jagah unke rahne ke liye chun sakte ho. Apne waalid aur apne bhaaiyoṅ ko sabse accẖī zameen do. Unko Goshen me rahne do aur agar wo ek accẖe charwaahe haiṅ to merī gaayoṅ kī dekhbhaal bhī kar sakte haiṅ.”(6)

Yaaqub(a.s) Misr me Goshen kī zameen par rahe unkā ḳḥaandaan bahut phalā-phulā. Wo log wahaaṅ zameeṅdaar ban gae aur bahut behatreen zindagī guzaarī.(27)

 

48:1, 8-11, 21; 49:33

Kucẖ waqt ke baad Yusuf(a.s) ko patā chalā ki unke waalid, Yaaqub(a.s),kī tabiyat ḳḥaraab hai. Wo apne donoṅ beṯoṅ ko le kar unse milne gae.(1)

Jab Yaaqub(a.s) ne Yusuf(a.s) ke beṯoṅ ko dekhā to pucẖā “Ye bacche kaun haiṅ?”(8) Yusuf(a.s) ne kahā, “Ye mere beṯe haiṅ, ye wo laḍke haiṅ jo Allaah taa’alā ne mujhe atā kiye haiṅ.” Yaaqub(a.s) ne kahā, “Apne beṯoṅ ko mere paas le kar āo taaki maiṅ inheṅ barkat de sakuṅ.”(9) Yaaqub(a.s) bahut buzurg ho chuke the aur unkī nazar bhī bahut kamzor ho gaī thī. Yusuf(a.s) laḍkoṅ ko waalid ke kareeb laae to unhone laḍkoṅ ko pyaar kiyā aur gale lagaayā.(10) Tab Yaaqub(a.s) ne Yusuf(a.s) se kahā “Mujhe naheeṅ lagtā thā ki maiṅ ab kabhī tumheṅ dekh paauṅgā, lekin dekho Allaah rabbul kareem ne mujhe tumse aur tumhaare bacchoṅ se milā diyā.”(11)

Tab Yaaqub(a.s) ne Yusuf(a.s) se kahā, “Dekho mere marne kā waqt bahut qareeb hai, lekin Allaah taa’alā tumhaare saath hai aur wo tumko tumhaarī purkhoṅ kī zameen tak le kar jaaegā.”(21)

Jab Yaaqub(a.s) apne beṯoṅ se baat kar chuke to waapas apne bistar par leṯe aur iṅtiqaal farmā gae.(33)

 

50:22-24

Yusuf(a.s) apne waalid ke ghar waaloṅ ke saath Misr me hī rahe aur ek sau das saal kī umr me iṅtiqaal farmaayā.(22) Yusuf(a.s) kī zindagī me unke beṯe Ifraaeem ke bacche hue aur pote hue, aur unke beṯe Manassā ke ek beṯā huā jiskā naam Makkiyā thā. Yusuf(a.s) ne apnī zindagī me Makkiyā ke bacchoṅ ko bhī dekhā.(23) Jab Yusuf(a.s) apne āḳḥirī waqt me pahuṅche to unhone apne bhaaiyoṅ se kahā, “Mere marne kā waqt bahut qareeb hai lekin maiṅ jaantā huṅ ki Allaah rabbul kareem tumhaarā ḳḥyaal rakhegā aur tumko is mulq se nikaal kar us zameen par le kar jaaegā ki jiskā waadā usne Ibraaheem(a.s), Ishaaq(a.s),aur Yaaqub(a.s) se kiyā hai.”(24)