Nayā Dil Aur Naī Ruh (Taurait : Hizakeeel 36:16-38)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Nayā Dil Aur Naī Ruh

Taurait : Hizakeeel 36:16-38

Allaah taa’alā kā paiġaam Hizakeeel(a.s) ko milā. Allaah taa’alā ne unse kahā:(16) “Ibraanī log, jo Yaaqub kī aulaadoṅ me se haiṅ, apnī zameen par rah rahe the, lekin unhone us zameen ko apne taur-tareeqe aur ġalat kaamoṅ se gandā kar diyā.(17) Mere ġusse kā qahar un par ṯuṯā kyuṅki unhone us zameen par ḳḥun bahaayā aur but parastī kī.(18)

“Tab maine unko dusrī qaumoṅ me phailā diyā aur wo dusre mulkoṅ me bas gae. Maine un logoṅ ko unke har ġalat kaam ke liye sazā dī.(19) Wo jahaaṅ bhī gae mere paak naam kā dusrī qaum ke logoṅ ke beech me mazaaq uḍwaayā. Log unko dekh kar kahte the: ‘Ye Allaah taa’alā ko maanne waale log haiṅ, phir bhī usne in logoṅ ko us zameen se nikaalakar baahar kar diyā jo usne inko rahne ke liye dī thī.’(20)

“Mujhe apne naam kī parwaah thī kyuṅki wo log jahaaṅ bhī jaate the mere paak naam ko, dusrī qaum ke logoṅ ke beech me beizzat karwaate the.(21) Isī wajah se Hizakeeel, Ibraaniyoṅ se kaho, ‘Ye Allaah rabbul ālameen ne kahā hai: E Ibraaniyoṅ, maiṅ jo bhī karuṅgā wo tumhaare liye naheeṅ karuṅgā, balki ye dikhaane ke liye karuṅgā ki merā naam paak hai. Tum log jahaaṅ bhī gae mere paak naam ko, dusrī qaum ke logoṅ ke beech me beizzat kiyā hai.(22)

“‘Suno, maiṅ un logoṅ ke beech apne naam kī azmat dikhaauṅgā; har qaum me mere naam kī beizztī tumhaarī wajah se huī hai. Maiṅ unke saamne ye zaahir kar duṅgā ki merā naam kitnā muqaddas hai. Maiṅ unkī āṅkhoṅ ke saamne tum logoṅ kī madad karuṅgā jis se unko ye yaqeen ho jaaegā ki tumhaarā rab kitnā azeem hai aur uske siwaay koī ḳḥudā naheeṅ.(23)

“‘Maiṅ tumheṅ dusrī qaumoṅ se baahar nikaal laauṅgā. Maiṅ tumko har mulk se baahar nikaal kar jamā karuṅgā aur us zameen par waapas le kar āuṅgā.(24) Maiṅ tum logoṅ par saaf paanī cẖiḍakuṅgā taaki tum log paak ho jaao. Maiṅ tum logoṅ ko butoṅ kī ibaadat aur baaqī gaṅdagī se paak-saaf kar duṅgā.(25) Maiṅ tum logoṅ ko ek nayā dil duṅgā aur tum me ek naī ruh phuṅkuṅgā. Tumhaare patthar ho chuke dil kī jagah ziṅdā dil lagaauṅgā.(26)

“‘Maiṅ tum logoṅ ko hidaayaat duṅgā taaki tum log mere bataae hue nek raaste par chalo aur mere hukm par dhyaan se amal karo.(27) Tum phir usī zameen par rah sakoge jo maine tumhaare buzurgoṅ ko dī thī. Tab tum log mere upar īmaan rakhoge aur merī qaum hoge.(28) Aur maiṅ tumko saarī gaṅdagiyoṅ se bachaauṅgā. Maiṅ anaaj ko hukm duṅgā ki wo zameen se nikal kar ugnā shuru ho jaae aur is tarah se maiṅ tum logoṅ par kabhī bhukhamrī kī naubat naheeṅ āne duṅgā.(29)

“‘Maiṅ peḍoṅ par phaloṅ kī aur khetoṅ me anaaj kī paidaawaar baḍhā duṅgā. Tumko kabhī bhī dusrī qaum ke logoṅ ke saamne bhukhamrī se sharmiṅdā naheeṅ honā paḍegā.(30) Jab tum log apne haraam kaam aur ġalat chaal-chalan ko yaad karoge to tumko apne āp par bahut sharm āegī aur tum ḳḥud se nafrat karoge.(31) Suno, e Ibraaniyoṅ, Allaah rabbul azeem ne kahā hai: Tum log jaan lo ki maiṅ ye sab tumhaare liye naheeṅ kar rahā huṅ. To tum log apne gunaahoṅ aur chaal-chalan par sharm karo.(32)

“‘Allaah taa’alā ne ye kahā hai: Jab wo din āegā, to maiṅ tumko saare gunaahoṅ se paak kar duṅgā aur phir tum logoṅ ko shaharoṅ me basaauṅgā. Jo imaarateṅ khaṅḏar ho gaī haiṅ unko phir se banaayā jaaegā.(33) Laawaaris zameenoṅ ko phir se jotā jaaegā. Jab bhī log uske paas se guzareṅge to usko ḳḥaalī naheeṅ dekheṅge.(34) Wo log kaheṅge: “Ye zameen barbaad kar dī gaī thī lekin ab Adan ke baaġ jaisī hai. Ye shahar khaṅḏar ho gae the aur ab ye phir se ābaad aur mahafuz ho gae haiṅ.”(35) Tab tumhaare ās-paas kī qaum jaan jaaeṅgī ki tumhaare rab ne barbaad ho chukī cheezoṅ ko phir se banaayā hai, ḳḥatm ho chukī cheezoṅ ko phir se paidā kiyā hai. Ye tumhaare rab kā kalaam hai, aur maiṅ aisā zarur karuṅgā.’”(36)