Kyā Tumhaarā Rozā Qubul Huā? (Taurait : Yashaayaah 58:1-14)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Kyā Tumhaarā Rozā Qubul Huā?

Taurait : Yashaayaah 58:1-14

[Allaah rabbul ālameen kā irshaad hai:]

Bulaṅd āwaaz me fariyaad karo, jis tarah se bigul se āwaaz nikaltī hai.

Jitnā tez ho sake utnā zor se fariyaad karo.

Mere bandoṅ ke ghar waaloṅ ko unke gunaahoṅ ke baare me bataao!(1)

 

Har din wo mujhe ḏhuṅḏhte haiṅ,

aur wo log mere raaste ko jaankar ḳḥush nazar āte haiṅ,

ki jaise wo nek logoṅ me se hoṅ jo sahī kaam karte haiṅ,

aur is tarah se ki jaise wo kabhī apne rab ke banaae hue qaanun kabhī bhuleṅge bhī naheeṅ.

Wo mujhse iṅsaaf kī fariyaad karte haiṅ,

aur kahte haiṅ ki mere paas hone se unheṅ bahut ḳḥushī haasil hotī hai.(2)

 

Log kahte haiṅ: “E mere parwardigaar, hamneṅ kis tarah se roze rakhe haiṅ, tu dekhtā kyuṅ naheeṅ?

Dekho ham kis tarah se tere saamne taazeem me jhukte haiṅ,

tu is baat se beḳḥabar kyuṅ hai?”

Allaah taa’alā irshaad farmaatā hai: Tum apne āp ko dekho!

Tum jab rozā rakhte ho, to wahī karte ho jo tum chaahte ho,

aur apne naukroṅ par zulm karte ho.(3)

 

Dekho kis tarah se tum roze me ek dusre se bahas aur laḍaaī karte ho,

aur maar-peeṯ karte ho!

Is tarah kā rozā tumhaarī āwaaz ko jannat tak naheeṅ pahuṅchne degā.(4)

 

Allaah taa’alā irshaad farmaatā hai: Kyā is tarah kā rozā mujhe pasaṅd hai?

Wo rozā ki jismeṅ tum apne āpko narm zaahir karte ho,

apne sar ko is tarah se jhukaate ho ki jis tarah peḍ ḳḥud ko hawā se jhukā dete haiṅ.

Tum saade kapḍe pahante ho aur ḳḥud ko miṯṯī se ḏhak lete ho.

Kyā tum isko rozā rakhnā bolte ho?

Kyā tum ye samajhte ho ki is tarah kā rozā tumhaare rab ko ḳḥush kar saktā hai?(5)

 

Naheeṅ! Mujhe is tarah kā rozā chaahie:

Begunaah logoṅ ko qaid se āzaad karo;

bahut zyaadā mehanat karne waale logoṅ ke bojh ko kam karo.

Jin logoṅ par zulm huā hai unheṅ āzaad kar do,

aur har ġulaamī kī zaṅjeer ko toḍ do.(6)

 

Apnī roṯī ko bhukhe logoṅ me baaṅṯo,

aur beghar ġareeb logoṅ ko apne ghar me ṯhikaanā do.

Un logoṅ ke jism ko ḏhako ki jinke paas kapḍe naheeṅ haiṅ,

aur apne zaruratmaṅd rishtedaaroṅ se cẖup kar mat raho.(7)

 

Tab tum subah kī tarah roshan ho jaaoge,

aur tumhaare zaḳḥm bahut jaldī bhar jaaeṅge.

Tumhaarī nekī tumhaare āge chalegī,

aur tumhaare parwardigaar kī taaqat tumhaarī peecẖe se hifaazat karegī.(8)

 

Tab jab bhī tum pukaaroge to tumhaarā parwardigaar tumheṅ jawaab degā.

Jab tum āwaaz doge, to wo kahegā: “Maiṅ yahaaṅ huṅ.”

To islie tum zulm ke sataae hue logoṅ ke bojh ko kam karo.

Dusroṅ par uṅglī uṯhaanā aur afawaah phailaanā baṅd karo!(9)

 

Tum agar bhukhe logoṅ ko khaanā khilaaoge,

aur pareshaan logoṅ kī madad karoge,

to tumhaarā nur aṅdhere se chamak kar baahar niklegā,

aur tumhaarī aṅdherī raat din kī tarah chamak uṯhegī.(10)

 

Allaah taa’alā tumheṅ har waqt raastā dikhaaegā,

tumhaarī har zarurat kā ḳḥyaal rakhegā,

aur tumhaarī haḏḏiyoṅ ko mazbut kar degā.

Tum ek seeṅche hue baaġ kī tarah hoge,

us jharne kī tarah hoge ki jiskā paanī kabhī ruktā naheeṅ.(11)

 

Tumhaarī barbaad ho chukī imaaratoṅ ko phir se banaayā jaaegā.

Aur tum us par apnī āne waalī nasloṅ kī neeṅw ḏaaloge.

Tumheṅ log puraanī deewaaroṅ ko nayā karne waalā kaheṅge,

jo gharoṅ ko aur saḍakoṅ ko phir se sahī kar ke unheṅ ābaad karte haiṅ.(12)

 

Agar tum Allaah taa’alā ke din ko yaad rakho,

aur us din apnī rozī-roṯī kī fikr nā karo,

aur ḳḥushī se us din ko Allaah rabbul azeem kā din qubul karo,

agar tum is din ko Allaah taa’alā kī ibaadat me guzaaro,

aur apne tareeqe se kaam nā karo,

aur agar tum apne waqt ko faaltu baateṅ karne aur mauj-mastī me nā guzaaro,(13)

tab tumhaarī ḳḥushī sirf Allaah rabbul ālameen kī zaat me hogī.

Wo tumheṅ bahut izzat atā karegā,

aur tumko wo us wiraasat se degā ki jiskā waadā usne tumhaare buzurgoṅ,

Yaaqub(a.s) [aur Ibraaheem(a.s)] se kiyā hai.

Ye Allaah rabbul azeem kā kalaam hai!(14)