Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem
Ishaaq(a.s) Kī Paidaaish
Taurait : Ḳḥilqat 17:15-26; 21:2, 4, 6, 8
[Ibraaheem(a.s) kī beewī, Saarah, ab tak Saraayī kahalaatī theeṅ. To]Allaah taa’alā ne Ibraaheem(a.s) se kahā, “Maiṅ tumhaarī beewī Saraayī ko bhī ek nayā naam duṅgā. Uskā nayā naam Saarah hogā,(15) maiṅ usko barkat duṅgā aur usse tumheṅ ek aulaad haasil hogī.” Wo bahut logoṅ kī maaṅ hogī aur bahut sī saltanatoṅ ke baadshaah usī se paidā hoṅge.”(16) Allaah taa’alā kā shukr adā karne ke liye Ibraaheem(a.s) ne apnā sar neeche zameen par jhukaayā. Ibraaheem(a.s) haṅse aur apne āp se kahā, “Kyā ek ādmī jo sau saal kā hai aur Saraayī jo nabbe saal kī hai, ek bacche ko paidā kar sakte haiṅ?” To(17) Ibraaheem(a.s) ne Allaah taa’alā se kahā, “Ismaaeel par bhī to āpkī nazre karam hogī.”(18) Allaah taa’alā ne kahā, “Yaqeenan tumhaarī beewī Saarah se ek beṯā paidā hogā jiskā naam Ishaaq hogā. Maiṅ us se ek ahad karuṅgā jo hameshā ke liye rahegā, har ek ke liye jo uske baad āeṅge.(19) Aur jo tum Ismaaeel ke baare me kah rahe ho maine usko bhī sun liyā hai. Maiṅ usko bhī barkat duṅgā aur uskī bhī bahut saarī aulaadeṅ hoṅgī. Maiṅ usko azeem banā duṅgā. Wo baarah shahazaadoṅ kā baap hogā aur maiṅ uske ḳḥaandaan ko ek azeem qaum banā duṅgā.(20) Merā ahad Ishaaq se purā hogā. Tumhaarī beewī agle saal isī mausam me ek laḍke ko paidā karegī.”(21) Jab Allaah taa’alā kī Ibraaheem(a.s) se baat purī huī to bashaarat ḳḥatm huī.(22)
Ibraaheem(a.s) ne Allaah taa’alā ke hukm ke mutaabiq apne beṯe Ismaaeel(a.s) kā, saare laḍkoṅ kā jo unke ghar me paidā hue the, aur wo saare naukar jinko unhone paisoṅ se ḳḥareedā thā, sabkī ḳḥatnā karaayī. Jab(23) Ibraaheem(a.s) kī ḳḥatnā huī to unkī umr ninyaanawe saal kī thī,(24) aur unke beṯe kī umr terah saal kī thī.(25) Ibraaheem(a.s) aur unke beṯe kī ḳḥatnā ek hī din huī thī.(26)
21:2,4,6,8
Saarah buḍhaape me haamilā huī aur unhone Ibraaheem(a.s) ke liye ek laḍke ko paidā kiyā. Wo us waqt hī haamilā huī jo waqt Allaah taa’alā ne unke liye tay kiyā thā.(2) Allaah taa’alā ke hukm ke mutaabiq Ibraaheem(a.s) ne apne beṯe Ishaaq(a.s) kī ḳḥatnā kī jab wo āṯh din ke the.(4) Saarah ne kahā, “Allaah taa’alā ne mujhe haṅsā diyā aur jo koī bhī is baat ko sunegā wo bhī haṅsegā.”(6) Bacchā baḍā huā aur uskā ḏhudh cẖuṯaayā gayā aur usī din Ibraaheem(a.s) ne ek bahut shaandaar daawat dī.(8)