Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem
Īsā(a.s) Ke Shaagird
Iṅjeel : Mattā 4:18-24
Īsā(a.s) Galeel kī jheel ke kinaare chal rahe the. Unhone wahaaṅ par do bhaaeeyoṅ ko macẖlī pakaḍte hue dekhā. Unmeṅ se ek kā naam Shamun thā (jin ko Patras ke naam se bhī jaante the) aur dusre kā naam Andriyaas thā. Wo donoṅ bhaaī macẖuaare the aur us jheel me jaal se macẖlī pakaḍ rahe the.(18) Īsā(a.s) ne unse kahā, “Āo mere saath chalo. Maiṅ tumheṅ nae qism kā macẖuaarā banaauṅgā. Macẖlī pakaḍne ke saath tum logoṅ ko Allaah taa’alā kī saltanat ke liye bhī ikaṯṯhā karo.(19) Shamun aur Andriyaas, donoṅ bhaaī, apnā jaal cẖoḍ kar unke saath chal die.(20)
Īsā(a.s) Galeel kī us jheel ke kinaare chalte rahe. Unko do aur bhaaī dikhaaī die jinkā naam Yaaqub aur Yuhannā thā. Un bhaaeeyoṅ ke waalid kā naam Zabdī thā. Wo donoṅ apne waalid ke saath ek naaw me sawaar the aur macẖlī pakaḍne ke liye jaal taiyaar kar rahe the. Īsā(a.s) ne unko apne saath chalne ke liye kahā.(21) Wolog fauran apnī naaw cẖoḍ kar unke peecẖe chal die.(22)
Īsā(a.s) Galeel shahar me har jagah ghume aur Yahudiyoṅ kī ibaadatgaah me logoṅ ko taaleem bhī dī. Īsā(a.s) ne logoṅ ko Allaah rabbul kareem kī baadshaahat kī accẖī ḳḥabar sunaaī. Unhone logoṅ kī beemaariyaaṅ aur mareezoṅ ko ṯheek kiyā.(23) Īsā(a.s) kī ḳḥabar har taraf phail gaī, yahaaṅ tak ki Seeriyā ilaaqe me bhī logoṅ ko patā chal gayā. Log apne mareezoṅ ko Īsā(a.s) ke paas shifā ke liye le kar āe. Log alag-alag tarah kī beemaariyoṅ me ghire hue the. Kucẖ logoṅ ko bahut zyaadā dard thā, kucẖ par gandī ruheṅ sawaar theeṅ, kucẖ ko mirgī ke daure paḍte the aur kucẖ par faalij gir gayā thā. Īsā(a.s) ne har mareez ko taṅdarust kar diyā.(24)