Musā(a.s) Ne Qaanun Kī Kitaaboṅ Ko Likh Kar Purā Kiyā (Taurait : Iaadā 31:24-29)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Musā(a.s) Ne Qaanun Kī Kitaaboṅ Ko Likh Kar Purā Kiyā

Taurait : Iaadā 31:24-29

Musā(a.s) ne Allaah ke qaanun kī kitaab[a] ko likh kar purā kiyā.(24) Tab unhone Laawī logoṅ ko bulaayā aur hukm diyā. [Ye log Laawī ḳḥaandaan ke log the jo ahad ke saṅduk[b] ko saṁbhaalte the.](25) Musā(a.s) ne unse kahā, “Qaanun kī is kitaab ko ahad ke saṅduk ke paas rakh do, jo Allaah rabbul azeem ke ahad kī nishaanī hai. Ye hameshā waheeṅ rahnī chaahie taaki tum logoṅ ke ḳḥilaaf gawaahī[c] de sake.(26) Maiṅ jaantā huṅ ki tum log kitne ziddī aur belagaam ho. Tum log mere ziṅdā hote hue bhī Allaah taa’alā kā kahnā naheeṅ maante, to mere marne ke baad tum log aur bhī zyaadā manmaanī karne lagoge.(27)

“Tum log apne ḳḥaandaan ke saare buḍhe logoṅ ko aur rahanumaaoṅ ko mere paas bulā kar laao. Maiṅ un logoṅ ko kucẖ baateṅ bataanā chaahtā huṅ taaki sab ise jaan sakeṅ. Maiṅ āsmaan aur zameen se kahuṅgā ki wo iske gawaah baneṅ.(28) Maiṅ jaantā huṅ ki tum log mere marne ke baad aur bhī zyaadā gunaahgaar ban jaaoge. Tum log mere die hue hukm ke ḳḥilaaf ho jaaoge. Āne waale waqt me tum logoṅ ke saath bahut se haadse hoṅge. Tum log wahī kaam karoge jisko Allaah taa’alā ne haraam kahā hai. Tum log but banaaoge jisse Allaah rabbul azeem naaraaz ho jaaegā.”(29)