Aulaad Kā Waadā (Taurait : Ḳḥilqat 15:1-7, 13-16)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Aulaad Kā Waadā

Taurait : Ḳḥilqat 15:1-7, 13-16

Ibraaheem(a.s) ko Allaah taa’alā kā paiġaam ek ḳḥwaab me milā jismeṅ Allaah rabbul kareem ne Ibraaheem(a.s) se kahā, “Ḏaro naheeṅ, maiṅ tumhaarī hifaazat karuṅgā aur tumko ek baḍā inaam duṅgā”(1) lekin, Ibraaheem(a.s) ne kahā, “E Allaah rabbul azeem, tu mujhe aur kyā degā jabki maiṅ beaulaad huṅ? Jab maiṅ mar jaauṅgā to merī saarī jaaydaad mere Damishk ke naukar Elizaar ko mil jaaegī.” Tab(2-3) Allaah taa’alā kī taraf se Ibraaheem(a.s) ke paas ek paiġaam āyā: “Is ādmī ko tumhaarī jaaydaad naheeṅ milegī balki, ek aulaad jo tumhaare ḳḥud ke jism se hogī, wo is jaaydaad kī waaris hogī.”(4) Allaah taa’alā ne Ibraaheem(a.s) se kahā, “Apne ghar se baahar jaao aur āsmaan me taaroṅ ko dekho, gino inko agar gin sakte ho. Tumhaarī aulaadeṅ in taaroṅ kī tarah hī hoṅgī.”(5)

Ibraaheem(a.s) ne Allaah taa’alā par yaqeen kiyā aur islie Allaah taa’alā ne unko nek aur īmaandaar qubul kiyā.(6) Tab Allaah taa’alā ne Ibraaheem(a.s) se kahā, “Maiṅ wo hī huṅ jisne tumko Kalḏā ke Ur shahar se lā kar is zameen par basaayā aur ye zameen dī, ye ab tumhaarī hai aur tumhaarā ghar hai.”(7)

Phir Allaah taa’alā ne Ibraaheem(a.s) se kahā, “Tum jaan lo ki tumhaarī aulaadeṅ ek mulk me, pardesī kī tarah raheṅgī. Us mulk me unko chaar sau saal tak ġulaam banaayā jaaegā aur log unse bahut burī tarah se pesh āeṅge.(13) Tab maiṅ us mulk ko sazā duṅgā aur tumhaare log us jagah se apnā saarā saamaan le kar baahar ā jaaeṅge.(14) Lekin in sab cheezoṅ ke hone se pahale tum bahut lambī aur sukun kī ziṅdagī guzaaroge.(15) Chaar sau saal ke baad tumhaarī aulaadeṅ is zameen par dobaarā waapas āeṅgī aur Amuriyoṅ ko haraaeṅgī. Ye sab baad me hogā kyuṅki Amurī tab tak itne zaalim naheeṅ hoṅge ki maiṅ unse unkī zameen cẖeen luṅ.”(16)