Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem
Pyaar Kā Ahad
Taurait : Iaadā 7:9-12, 8:1-5, 31:24-29
Musā(a.s) ne logoṅ se kahā, “Yaad rakho ki Allaah rabbul azeem sirf ek hī hai. Wo apne kare hue waade ko hameshā purā kartā hai aur apne kie hue ahad ko hazaar nasloṅ tak yaad rakhtā hai. Wo ye sab un logoṅ ke liye kartā hai jo usse mohabbat karte haiṅ aur uskā kahnā maante haiṅ.(9) Lekin jo log Allaah taa’alā se nafrat karte haiṅ wo barbaad kar die jaate haiṅ kyuṅki wo unko sazā dene me hichakichaatā naheeṅ hai.(10) Islie ḳḥyaal rakhnā ki uske hukm aur usuloṅ ko maano jo maiṅ āj tumheṅ batā rahā huṅ.(11) In qaanunoṅ par ġaur karo aur in par dhyaan se amal karo, tabhī Allaah taa’alā apne ahad ko yaad rakhegā jo usne tumhaare baap-daadā se kiyā hai.(12)
8:1-5
[Phir Musā(a.s) ne un se kahā,] “Dhyaan se har hukm par amal karnā jo maiṅ tumko batā rahā huṅ, tabhī tum log barkat paaoge. Tum tabhī us zameen ke maalik ban sakoge ki jis kā waadā Allaah taa’alā ne tumhaare buzurgoṅ se kiyā hai.(1) Yaad rakhnā ki Allaah taa’alā ne kis tarah chaalees saal tumheṅ registaan me bhaṯkaayā aur tumhaare ġurur ko ḳḥatm kar diyā. Usne tumhaarā imtihaan liyā taaki wo tumheṅ parakh sake. Allaah taa’alā jaannā chaahtā thā ki tum uske hukm par amal karte ho yā naheeṅ.(2) Usne tumheṅ narm karne ke liye tumheṅ bhukh kā ehasaas dilaayā aur phir khaane ke liye mann[a] naamak ek āsmaanī roṯī dī. Mann ek aisā khaanā thā jo tumne aur tumhaare baap-daadā ne nā kabhī dekhā thā aur nā hī kabhī sunā thā. Is tarah se, Allaah taa’alā ne tumko sikhaayā ki iṅsaan sirf roṯī se naheeṅ ziṅdā hai balki Allaah taa’alā ke har kalaam me zindagī hai.(3)
“In chaalees saaloṅ me, nā hī tumhaare kapḍe phaṯe aur nā hī tumhaare pairoṅ me sujan āī.(4) Tum apne diloṅ me ye baat baiṯhā lo ki jis tarah ek baap apnī aulaad kī ġaltiyaaṅ sudhaartā hai usī tarah se Allaah rabbul azeem ne tum logoṅ ko bhī sudhaarā hai.”(5)