Shaagirdoṅ Par Yahudiyoṅ Kā Zulm (Iṅjeel : Shaagirdoṅ Ke Āmaal 4:1-35)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Shaagirdoṅ Par Yahudiyoṅ Kā Zulm

Iṅjeel : Shaagirdoṅ Ke Āmaal 4:1-35

Jab janaab Patras aur janaab Yuhannā logoṅ se baat kar rahe the [us paidaaishī laṅgḍe ke baare me jo ṯheek ho gayā thā] kucẖ log unke paas jamā ho gae. Unmeṅ Yahudī imaam the aur un faujiyoṅ ke sardaar the jo baitul-muqaddas kī rakhwaalī karte the.(1) Wo log janaab Patras aur janaab Yuhannā se naaraaz the kyuṅki wo logoṅ ko batā rahe the ki mare hue log dobaarā zindā hoṅge. Wo ye bhī kah rahe the ki Īsā(a.s) ke ziṅdā hone se ye baat sach saabit ho gaī hai.(2) Unko giraftaar kar ke jel me qaid kar liyā gayā. Wo shaam kā waqt thā to unko sunwaaī ke liye agle din tak jel me hī rakhā gayā.(3) Bahut se logoṅ ne jab janaab Patras aur janaab Yuhannā ke kalaam ko sunā to un par yaqeen kar liyā. Agar sirf ādmiyoṅ ko ginā jaae jinhone is baat par yaqeen kiyā to wo log taqreeban paaṅch hazaar the.(4)

Agle din Yahudī haakim, Yahudī buḍhe log, aur ālim Yerushalam me ek saath jamā hue.(5) Wo sab mil kar sabse baḍe imaam, un ke paas gae jahaaṅ uske ghar ke aur bhī log maujud the. Unmeṅ kucẖ leeḏar bhī shaamil the jinkā naam Kaaifā, Yuhannā, aur Sikaṅdar thā.(6) Un logoṅ ne janaab Patras aur janaab Yuhannā ko apne saamne bulā kar khaḍā karwaayā. Yahudī leeḏroṅ ne unse pucẖā: “Tumne ye sab kiske naam aur hukm se kiyā?”(7)

Janaab Patras Allaah taa’alā ke nur se roshan the. Unhone unke sawaaloṅ ke jawaab die aur bole, “Haakimoṅ aur logoṅ ke buzurgoṅ,(8) kyā ham par islie muqadmā karā gayā hai ki beemaar ādmī ṯheek ho gayā? Kyā tum ye pucẖ rahe ho ki is ādmī ko kis ne accẖā kiyā hai?(9) Ham tum sabko aur saare Yahudī logoṅ ko bataanā chaahte haiṅ ki Allaah ke chune hue Maseehā ke naam par kyā huā, Īsā(a.s) jo Naazreth shahar se āe the! Wo wahī the jinko tumne sulī par keeloṅ se laṯkā kar qatl kar diyā, lekin Allaah taa’alā ne unheṅ ziṅdā kar diyā. Ye ādmī laṅgḍā thā, lekin āj ye Īsā(a.s) kī wajah se chalne ke laayaq huā hai!(10) Īsā(a.s) wo haiṅ [jinke baare me ek nabī, Daaud(a.s) ne kahā thā:] ‘Jis patthar ko makaan banaane waaloṅ ne bekaar samajh kar istemaal naheeṅ kiyā wahī patthar ghar kī buniyaad me kaam āyā.’[a](11) Koī bhī hameṅ bachā naheeṅ saktā hai. Is purī duniyā me Allaah taa’alā ne Īsā(a.s) ko logoṅ kī nijaat ke liye bhejā hai.”(12)

Rahanumaaoṅ ne dekhā ki janaab Patras aur janaab Yuhannā bolne se bilkul bhī ḏar naheeṅ rahe haiṅ. Wo sab hairaan the kyuṅki in donoṅ ko koī ḳḥaas taaleem naheeṅ milī thī. Tab unheṅ samajh me āyā ki wo Īsā(a.s) ke saath rahte the.(13) Yahudī rahanumā unkī baatoṅ kā koī jawaab naheeṅ de paae kyuṅki jis ādmī ko shifā milī thī wo waheeṅ par khaḍā thā.(14) To un logoṅ ne unheṅ wahaaṅ se bhej diyā aur āpas me mashwarā karne lage ki unheṅ kyā karnā chaahie.(15) Unhone kahā, “Ham in logoṅ ke saath kyā kareṅ? Yerushalam me har koī jaantā thā ki unhone zabardast karishme kiye haiṅ! Ham log ye naheeṅ kah sakte ki ye jhuṯ hai.(16) Lekin ham unko dhamkī de kar ye kah sakte haiṅ ki wo ye naam le kar logoṅ se baat nā kareṅ. Tabhī is baat ko logoṅ ke beech phailne se rokā jā saktā hai.”(17)

To unhone janaab Patras aur janaab Yuhannā ko dobaarā bulwaayā. Unko hukm diyā ki logoṅ se baat nā kareṅ aur Īsā(a.s) ke naam par logoṅ ko taaleem nā deṅ.(18) Janaab Patras aur janaab Yuhannā ne unko jawaab diyā, “Tumko kyā lagtā hai ki sahī kyā hai? Allaah taa’alā kyā chaahtā hai? Kyā ham Allaah taa’alā kā hukm maaneṅ yā tum logoṅ kā?(19) Ham ḳḥaamosh naheeṅ rah sakte. Hamko us baare me baat karnī chaahie jo hamne sunī aur dekhī hai.”(20) Yahudī rahanumaaoṅ ne unko aur ḏaraane kī koshish karī lekin majbur ho kar unheṅ jaane diyā. Un logoṅ ko sazā dene kā koī bhī bahaanā unke paas naheeṅ thā kyuṅki log us mojize ko dekh kar Allaah taa’alā kī taareef kar rahe the.(21) Ye karishmā Allaah taa’alā kī taraf se ek nishaanī thī kyuṅki jo ādmī chalne ke laayaq huā thā, wo chaalees saal se laṅgḍā thā!(22)

Janaab Patras aur janaab Yuhannā un logoṅ kī jamaat se uṯh kar apne logoṅ ke paas ā gae. Unhone wahaaṅ maujud sabhī logoṅ ko imaam aur rahanumaaoṅ kī kahī huī baatoṅ ko bataayā.(23) Jab un sabne is baat ko sunā to mil kar Allaah taa’alā se duā karī aur kahā, “Yā Allaah rabbul kareem, hamaare paalanahaar, tu hī hai jisne zameen, āsmaan, aur samaṅdar ko banaayā aur is duniyā kī har ek cheez ko banaayā.(24) Hamaare buzurg Daaud(a.s) tere ḳḥaadim the. Unhone terī qudrat kī madad le kar kahā:

“‘Ye saarī qaumoṅ ke log ġusse me kyuṅ haiṅ?

Log kyuṅ bekaar ke maṅsube banaate rahte haiṅ?(25)

Zameen ke saare baadshaah laḍaaī ke liye taiyaar haiṅ.

Unke rahanumā saath mil kar Allaah taa’alā aur Maseehā ke ḳḥilaaf maṅsube banā rahe haiṅ.’[b](26)

“Ab jab Yerushalam shahar me ye sab ho chukā hai, jahaaṅ par log mil kar tere nek bandoṅ aur tere chune hue Maseehā ke ḳḥilaaf khaḍe ho gae haiṅ. Baadshaah Herodes Antipaas, Puntiyus Peelaatus, Yahudī, aur ġair Yahudī log āpas me ek ho gae haiṅ.(27) Yā Allaah rabbul azeem, yahī wo log haiṅ jinhone terī marzī se wahī kiyā jo tu inse karwaanā chaahtā thā;(28) yā Allaah taa’alā, ab ye log hameṅ bhī dhamkiyaaṅ de rahe haiṅ! Hamaarī madad kar taaki ham terī baat ko logoṅ tak binā khauf ke pahuṅchā sakeṅ.(29) Jab tu, apne ḳḥaadim Īsā(a.s) ke naam par, logoṅ ko shifā atā kartā hai aur apnī qudrat kī nishaaniyaaṅ aur karishme dikhaatā hai.”(30)

Jab wo log duā maaṅg chuke to jis jagah wo jamā the wo hilne lagī aur wo sab Allaah taa’alā ke nur se roshan ho gae. Iske baad wo sab Allaah taa’alā ke hukm ko binā kisī ḏar ke sunaane lage.(31) Un aqeedā rakhne waale logoṅ ke paas ek hī dil thā aur ek hī ruh. Unmeṅ se kisī ne bhī ye naheeṅ kahā ki ye merī hai. Balki, un logoṅ ne āpas me saarī cheezeṅ baaṅṯ leeṅ.(32) Ek azeem taaqat se wo paiġambar Īsā(a.s) ke ziṅdā ho jaane kī gawaahī de rahe the aur Allaah taa’alā ne un nek logoṅ ko barkat baḳḥshī.(33) Unke paas zarurat kī har cheez maujud thī. Jo log khetoṅ aur gharoṅ ke maalik the wo unheṅ bech kar paise le āe(34) aur paiġambaroṅ ko de die. Tab jab kisī zaruratmaṅd ko unkī zarurat hotī thī to wo usko diyā jaatā thā.(35)