Ḳḥwaaboṅ Kī Taabeer (Taurait : Ḳḥilqat 40:1-23, 41:9, 12-27, 33-40, 46-47, 49, 55-57)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Ḳḥwaaboṅ Kī Taabeer

Taurait : Ḳḥilqat 40:1-23, 41:9, 12-27, 33-40, 46-47, 49, 55-57

 

40:1-23

Baadshaah ko ras pilaane waale aur roṯī pakaane waale ḳḥaas naukroṅ ne naaraaz kar diyā thā.(1) Firaun apne in kaam karne waaloṅ se itnā naaraaz huā ki(2) inko usī jel me qaid karwā diyā jahaaṅ Yusuf(a.s) qaid the. In donoṅ naukroṅ ko jel ke sardaar ke hawaale kar diyā.(3) Sardaar ne un donoṅ kī zimmedaarī Yusuf(a.s) ko dī, aur unhone unkī dekh-rekh karī. Kucẖ dinoṅ jel me rahne ke baad,(4) un donoṅ ne ek-ek ḳḥwaab dekhā jinke alag-alag matlab the.(5)

Jab Yusuf(a.s) dusre din unke paas gae to dekhā ki wo donoṅ bahut afsos me haiṅ.(6) To unhone baadshaah ke un ḳḥaas naukroṅ se pucẖā, “Tum āj itne pareshaan kyuṅ nazar ā rahe ho?”(7)

Unhone jawaab diyā, “Ham donoṅ ne ḳḥwaab dekhā hai, lekin aisā koī bhī naheeṅ jo hameṅ inkī taabeer batā sake.”

Tab Yusuf(a.s) ne unse kahā, “Kyā Allaah taa’alā ḳḥwaab kī taabeer naheeṅ jaantā? Mujhe apnā ḳḥwaab bataao.”(8)

To ras pilaane waale ne Yusuf(a.s) ko apnā ḳḥwaab sunaayā. Usne kahā, “Maine apne ḳḥwaab me dekhā ki mere saamne aṅgur kī ek bel hai,(9) aur usmeṅ teen ṯahaniyaaṅ haiṅ. Jaise hī us par baur lagā, phul khil gae aur wo jamā ho kar ek aṅgur ke pake hue guccẖoṅ me badal gae.(10) Firaun kī ras pyaalī mere haath me hī thī. Maine un aṅguroṅ ko toḍā aur uske ras kī pyaalī me nichoḍ kar unke haath me pakḍā diyā.”(11)

Yusuf(a.s) ne jawaab diyā, “Is ḳḥwaab kā matlab ye hai: Teen ṯahaniyaaṅ matlab teen din haiṅ.(12) Teen dinoṅ ke aṅdar Firaun tumhaarā haath pakaḍ kar tumheṅ waapas wahī naukrī de degā aur tum usī tarah se Firaun ko ras kī pyaalī pakaḍaaoge jis tarah se tum pahale dete the.(13) Jab tumhaare saath sab kucẖ ṯheek ho jaae, to mujhe bhī yaad rakhnā aur thoḍī meharbaanī mujh par bhī karnā; mere baare me Firaun ko bataanā taaki maiṅ jel se rihā ho sakuṅ.(14) Mujhe zabardastī kar ke Ibraaniyoṅ kī zameen se laayā gayā hai aur maine aisā kucẖ bhī naheeṅ kiyā ki mujhe yahaaṅ is kaal-koṯhrī me qaid kiyā jaae.”(15)

Jab roṯī pakaane waale ne dekhā ki Yusuf(a.s) ne ḳḥwaab kī accẖī taabeer bayaan karī hai to wo bhī unse bolā, “Maine bhī ek ḳḥwaab dekhā hai: Maine apne sar par roṯiyoṅ kī teen ṯokriyoṅ ko uṯhā rakhā hai.(16) Sabse upar waalī ṯokrī me Firaun ke liye kaī tarah kī sikī huī cheezeṅ haiṅ, lekin chiḍiyaaṅ us me se khā rahī haiṅ.”(17)

Yusuf(a.s) ne kahā ki tumhaare ḳḥwaab kā ye matlab hai, “Teen ṯokriyoṅ kā matlab teen din haiṅ.(18) Teen dinoṅ ke aṅdar Firaun tumko sazā degā aur ek khambe par tumhaarā jism chaḍhā degā aur chiḍiyaaṅ tumhaare jism se gosht noch kar khaaeṅgī.”(19)

Teesre din Firaun kī saalagirah thī to usne apne saare mulaazimoṅ ko daawat par bulaayā thā. Usne un sab logoṅ kī maujudgī me donoṅ ko jel se nikalwaayā:(20) Aur ras pilaane waale ko uskī naukrī par waapas lagā diyā taaki wo phir se Firaun ko ras kī pyaalī pakḍā sake,(21) lekin usne roṯī pakaane waale ko maut kī sazā dī, jaisā ki Yusuf(a.s) ne apnī taabeer me kahā thā.(22) Ras pilaane waale ke dimaaġ se Yusuf(a.s) kī baat nikal gaī aur wo unko bhul gayā.(23)

 

41:9, 12-27, 33-40, 46-47, 49, 55-57

[Jab pure do saal beet chuke the,] tab aṅgur kā ras pilaane waale naukar ko Yusuf(a.s) kī yaad āī aur usne Firaun se kahā, “Mujhe yaad hai ki mere saath kyā huā thā.(9) Jel me hamaare saath ek naujawaan Ibraanī ādmī thā. Wo fauj ke sardaar kā naukar thā aur jab hamne use apne ḳḥwaab bataae to usne hameṅ un donoṅ ḳḥwaaboṅ kī taabeer bayaan karī.(12) Wotaabeer aisī thī ki jo bhī usne kahā thā wo sach ho gayā. Usne kahā thā, maiṅ āzaad ho jaauṅgā aur mujhe merī puraanī naukrī waapas mil jaaegī aur wahī huā. Usne ye bhī kahā thā ki roṯī pakaane waalā maarā jaaegā aur wahī huā.”(13) To Firaun ne Yusuf(a.s) ko jel se bulwā bhejā aur paharedaaroṅ ne Yusuf(a.s) ko jaldī se rihā kiyā. Qaid ḳḥaane se rihā hone ke baad wo taiyaar hue aur baadshaah ke saamne pahuṅche.(14)

Misr ke Firaun ne Yusuf(a.s) se kahā, “Maine ek ḳḥwaab dekhā hai jiskī taabeer kisī ke paas naheeṅ. Maine sunā hai ki agar tumheṅ koī apnā khwaab sunaae to tum uskī taabeer batā dete ho.”(15)

Yusuf(a.s) ne kahā, “Maiṅ aisā naheeṅ kar saktā, sirf Allaah taa’alā hī Firaun ke ḳḥwaaboṅ kī taabeer jaantā hai.”(16)

Tab Firaun ne Yusuf(a.s) se kahā, “Maiṅ apne ḳḥwaab me Neel nadī ke kinaare khaḍā thā.(17) Saat moṯī taazī gaay nadī se baahar nikleeṅ aur wahaaṅ khaḍī ho kar ghaas khaane lageeṅ.(18) Tabhī maine saat aur gaay dekheeṅ jo nadī se baahar nikleeṅ, lekin ye gaay bahut kamzor aur beemaar lag rahī theeṅ. Ye aisī burī gaay theeṅ ki maine āj tak Misr me kabhī naheeṅ dekheeṅ.(19) Beemaar kamzor gaayoṅ ne moṯī taazī gaayoṅ ko khā liyā, lekin wo abhī bhī beemaar aur kamzor hī dikh rahī theeṅ. Āp unko dekh kar ye naheeṅ batā sakte the ki unhone moṯī gaayoṅ ko khā liyā hai.(20) Woabhī bhī pahale kī tarah hī beemaar aur kamzor hī dikh rahī theeṅ. Is ke baad merī āṅkh khul gaī.(21)

“Dusre ḳḥwaab me maine dekhā ki gehuṅ kī saat baaliyaaṅ ek hī paudhe par ug rahī haiṅ. Wo bahut sehatmand dikh rahī theeṅ aur un me ḳḥub anaaj bharā huā thā.(22) Uske baad saat aur gehuṅ kī baaliyaaṅ ugeeṅ, lekin ye bahut patlī aur garam hawā se sikuḍī huī dikh rahī theeṅ.(23) Tab saat patlī baaliyoṅ ne saat accẖī gehuṅ kī baaliyoṅ ko khā liyā. Maine ye ḳḥwaab apne jaadugaroṅ ko bataayā. Lekin koī bhī us ḳḥwaab kā matlab naheeṅ batā paayā. In ḳḥwaaboṅ kā kyā matlab hai?”(24)

Tab Yusuf(a.s) ne Firaun ko bataayā, “Donoṅ ḳḥwaaboṅ kā ek hī matlab hai. Allaah taa’alā āpko batā rahā hai ki kyā hone waalā hai.(25) Saat accẖī gaay aur saat accẖī gehuṅ kī baaliyaaṅ, accẖe saat saal haiṅ.(26) Saat dublī kamzor aur beemaar dikhne waalī gaay aur saat ḳḥaraab gehuṅ kī baaliyoṅ kā matlab hai saat saal sukhe kā qahar. Ye saat qahar ke saal accẖe saat saaloṅ ke baad āeṅge.(27)

“Islie āpko ek zaheen aur aqlmaṅd ādmī ko chun kar Misr ke kaam kī zimmedaarī denī chaahie(33) aur kucẖ ādmiyoṅ ko chun kar logoṅ se anaaj jamā karwaanā chaahie. Accẖe saat saaloṅ me logoṅ ko apnī paidaawaar kā paaṅchwaaṅ hissā hukumat ko denā hogā.(34) Is tarah se ye log anaaj ko shaharoṅ me jamā karte raheṅge, jab tak zarurat purī nā ho jaae. Ye jamā kiyā huā anaaj āpke qabze me hogā(35) aur bhukhamrī ke saat saaloṅ me pure Misr ko khaanā milegā aur wo is tabaahī se bach jaaegā.”(36) Ye ḳḥyaal Firaun ko bahut pasaṅd āyā aur uske sarkaarī afsar bhī raazī ho gae.(37)

Tab Firaun ne un logoṅ se kahā, “Mujhe naheeṅ lagtā ki Yusuf se behatar is kaam ko koī kar saktā hai, iske paas Allaah taa’alā kī hidaayat hai jo unko aqlmaṅd banaatī hai.”(38)

Firaun ne Yusuf(a.s) se kahā, “Āp ko ye sab Allaah taa’alā ne dikhaayā hai to islie āp is kaam ke liye sab se zyaadā behatar haiṅ.(39) Maiṅ āpko apne mulk kī zimmedaarī detā huṅ aur log āpkā hukm maaneṅge aur sirf maiṅ hī ohade me āpse zyaadā taaqatwar houṅgā.”(40)

Yusuf(a.s) kī umr tees saal thī jab unhone Misr ke baadshaah kī ḳḥidmat shuru kī. Unhone pure mulk kā safar kiyā.(46) Saat accẖe saaloṅ me bahut accẖī fasleṅ paidā hueeṅ.(47) Yusuf(a.s) ne itnā anaaj jamā kar liyā ki jaise samaṅdar me ret hotī hai aur wo itnā zyaadā thā ki tolā bhī nā jā sake.(49)

Jab akaal kī shuruaat huī to logoṅ ne Firaun se anaaj ke liye guhaar lagaaī. Firaun ne logoṅ se kahā, “Jaao aur Yusuf se pucẖo ki kyā karnā hai.”(55) Har taraf akaal paḍā thā to Yusuf(a.s) ne godaam se anaaj nikaal kar Misr ke logoṅ ko bechā. Akaal sirf Misr me hī naheeṅ(56) balki har taraf paḍā thā, jiskī wajah se ās-paas ke mulk se log Yusuf(a.s) se anaaj ḳḥareedne āte the.(57)