Ibraaniyoṅ Kā Safar (Taurait : Hijrat 12:33-40, 14:5-31)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Ibraaniyoṅ Kā Safar

Taurait : Hijrat 12:33-40, 14:5-31

Misriyoṅ ne Ibraaniyoṅ ko ye kah kar baahar nikaalā, “Ham sab log maare jaaeṅge.”(33) To Ibraaniyoṅ ne roṯī pakaane ke liye guṅdhā huā āṯā baaṅdhā jis me ḳḥameer naheeṅ thā aur wo kaṯorā bhī saath liyā jismeṅ wo roṯī pakaate the. Sab cheezoṅ ko unhone ek kapḍe me baaṅdh kar apne kaṅdhoṅ par laad liyā.(34) Unke beṯoṅ aur beṯiyoṅ ne Musā(a.s) kā hukm maanā aur apne Misrī paḍosiyoṅ se sone aur chaaṅdī ke saamaan aur kapḍe maaṅge.(35) Allaah taa’alā ne Misriyoṅ ke diloṅ me Ibraaniyoṅ ke liye mohabbat paidā kar dī thī islie un logoṅ ne wo sab de diyā jo Ibraaniyoṅ ne unse maaṅgā thā. Is tarah wo apne saath Misriyoṅ kī daulat bhī le āe.(36)

Ibraaniyoṅ ne Raimsees se le kar Sukkaat tak kā safar tay kiyā. Us kaarawaaṅ me cẖah laakh baaliġ ādmī aur unke ghar waale the(37) aur wo log bhī the jo Ibraaniyoṅ ke beech naheeṅ paidā hue the. Wo log apne saath apnī bheḍeṅ, bakriyaaṅ, aur bahut saarī gaay bhī laae the.(38)

Un logoṅ ne Misr se laae hue āṯe se roṯiyaaṅ banā kar sekeeṅ, us āṯe me ḳḥameer naheeṅ thā kyuṅki unko bahut jaldī Misr se nikaalā gayā thā aur itne kam waqt me āṯe me ḳḥameer naheeṅ milaayā jā saktā thā. Un logoṅ ke paas itnā waqt bhī naheeṅ thā ki wo baakī zarurat kā saamaan apne saath lā paate.(39) Ibraanī log Misr me chaar sau tees saal se rah rahe the.(40)

 

Samaṅdar Me Raastā

14:5-31

Jab Misr ke baadshaah ko bataayā gayā ki saare log bhaag gae haiṅ to uskā aur uske sarkaarī afasaroṅ kā iraadā badal gayā. Unhone āpas me kahā, “Hamne ye kyā kiyā? Hamne Ibraaniyoṅ ko apnī ġulaamī se āzaad kar diyā hai.”(5) Firaun ne apnī sawaarī ko taiyaar kiyā aur(6) apne saath cẖah sau sabse accẖe rath liye jis par ek faujī afsar sawaar thā.(7) Firaun himmat se Ibraaniyoṅ kā peecẖā karne nikal paḍā kyuṅki Allaah taa’alā ne uske saḳḥt dil ko aur saḳḥt kar diyā thā.(8)

Firaun aur uske faujiyoṅ ne Ibraaniyoṅ ko Phī-Hakhirot naam kī ek jagah par samaṅdar ke kinaare ḏerā ḏaale hue dekhā jo Baal-Saphon ke paas thī.(9) Jab un logoṅ ne Firaun kī fauj ko paas ātā huā dekhā to wo log bahut ḏar gae aur samajh gae ki Firaun kī fauj un par hamlā karne ā rahī hai. To un logoṅ ne Allaah taa’alā ko pukaarā aur phir(10) unhone Musā(.S) se kahā, “Kyā Misr me qabreṅ naheeṅ theeṅ ki tum hameṅ yahaaṅ registaan me marne ke liye le āe ho? Tum ne hameṅ Misr se baahar kyuṅ nikaalā hai?(11) Jab ham Misr me the, to kyā hamne tumse naheeṅ kahā thā, hameṅ akelā cẖoḍ do taaki ham Misriyoṅ kī ḳḥidmat kar sakeṅ? Registaan me marne se accẖā to ye thā ki ham Misriyoṅ kī ġulaamī karte rahte.”(12)

Musā(a.s) ne Ibraaniyoṅ se kahā, “Ḏaro naheeṅ, sukun se khaḍe raho, aur dekho ki Allaah taa’alā tumko bachaane ke liye āj kyā kartā hai.(13) Allaah taa’alā tumhaare liye laḍegā agar tum sabr se kaam loge. Ibraaniyoṅ, āj jo Misrī log tum dekh rahe ho, āj ke baad tum unko naheeṅ dekhoge.”(14)

Allaah taa’alā ne Musā(a.s) se kahā, “Tum mujhe kyuṅ pukaar rahe ho? Ibraaniyoṅ se kaho ki āge baḍheṅ.(15) Musā,tum apne haath me asā uṯhā ke samaṅdar kī taraf baḍho taaki wo beech se alag ho jaae aur log samaṅdar kī sukhī zameen par chal kar us paar jā sakeṅ.(16) Maiṅ Misriyoṅ ke dil ko aur saḳḥt kar duṅgā taaki wo tum logoṅ kā peecẖā samaṅdar me bhī kareṅ.(17) Misriyoṅ ko patā lag jaaegā ki maiṅ hī ḳḥudā huṅ.”(18)

Allaah taa’alā kā farishtā jo unke āge maujud thā, unke peecẖe ā gayā aur wo ghanā baadal[a] jo unke āge thā wo bhī unke peecẖe ā gayā.(19) Wo baadal ab Ibraaniyoṅ aur Misriyoṅ ke beech me thā. Wo baadal Ibraaniyoṅ ko raat bhar roshnī detā rahā, iske baawjud bhī wahaaṅ par raat hī thī aur Misrī fauj Ibraaniyoṅ ke paas tak naheeṅ pahuṅch paaī.(20)

Jab Musā(a.s) ne apne haath ko āge baḍhaayā to Allaah taa’alā ne ek taaqatwar hawā se paanī ko peecẖe kī taraf dhakel diyā. Samaṅdar do hissoṅ me alag ho gayā aur uskī sukhī zameen dikhne lagī.(21) Ibraanī log us raaste par chalne lage, aur paanī donoṅ taraf ek deewaar kī tarah khaḍā thā.(22) Firaun kī fauj apne ghoḍe aur sipaahiyoṅ ke saath unke peecẖe gae.(23) Allaah taa’alā ne unko dekhā aur unkī pareshaaniyoṅ ko baḍhā diyā.(24) Allaah taa’alā ne unke rathoṅ ko bhaṯkā diyā jiskī wajah se unkā rath chalaanā aur bhī mushkil ho gayā. Misriyoṅ ne kahā, “Hameṅ Ibraaniyoṅ se dur bhaagnā chaahie, kyuṅki ḳḥudā unkī taraf se laḍ rahā hai aur hamaare ḳḥilaaf ho gayā hai.”(25)

Allaah taa’alā ne Musā(a.s) se kahā, “Apnā haath samaṅdar kī taraf phailaao taaki paanī apnī jagah par waapas jā sake aur Misriyoṅ ko, unke sipaahiyoṅ ko, aur unkī sawaariyoṅ ko apne aṅdar ḏubā leṅ.”(26) Musā(a.s) ne waisā hī kiyā, aur subah ke waqt samaṅdar pahale ke jaisā ho gayā aur us waqt Misrī log samundar ke beech hī pahuṅche the. Misrī log samaṅdar ke beech me Allaah taa’alā kī taaqat se haar gae.(27)

Paanī apnī jagah waapas chalā gayā aur Misrī fauj jo unkā peecẖā kar rahī thī apnī sawaariyoṅ ke saath uske aṅdar ḏub gaeeṅ. Unmeṅ se ek bhī Misrī ādmī ziṅdā naheeṅ bachā.(28) Ibraanī log samaṅdar ke aṅdar bane sukhe raaste se ho kar baahar nikle jiske donoṅ taraf samaṅdar kī deewaareṅ khaḍī theeṅ.(29) Is tarah se Allaah taa’alā ne us din Ibraaniyoṅ ko Misriyoṅ kī ġulaamī se āzaad karaayā aur Ibraaniyoṅ ne Misriyoṅ kī laashoṅ ko samaṅdar ke kinaare paḍā dekhā.(30) Jab Ibraaniyoṅ ne Allaah taa’alā kī is azeem taaqat ko dekhā jo usne Misriyoṅ ke ḳḥilaaf istemaal karī thī to logoṅ ke diloṅ me khauf paidā ho gayā aur wo log Allaah taa’alā par aur Musā(a.s) par īmaan le āe.(31)