Gunaahoṅ Kī Maafī Ke Liye Qurbaanī (Taurait : Ālim-E-Deen Kā Qaanun 5:17-19)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Gunaahoṅ Kī Maafī Ke Liye Qurbaanī

Taurait : Ālim-E-Deen Kā Qaanun 5:17-19

Agar koī wo kaam kartā hai jo Allaah taa’alā ke hukm ke ḳḥilaaf hai chaahe usse wo gunaah anjaane me hī ho gayā ho, phir bhī us ko gunaahgaar samjhā jaaegā aur wo uskā zimmedaar hogā.(17) Unko apne gunaahoṅ kī maafī ke liye apne jaanwaroṅ me se qurbaanī ke liye ek bakrā mazhabī rahanumā ko denā hogā.[a] Ye bakrā sahī qeemat kā ho aur ismeṅ koī aib bhī naheeṅ honā chaahie.(18) Is tarah se mazhabī rahanumā inke us gunaah kā kaffaarā deṅge jo unhone anjaane me Allaah taa’alā ke ḳḥilaaf kiyā hai.(19)