Maiṅ Bheḍ Aur Tu Merā Charwaahā (Zabur 23)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Maiṅ Bheḍ Aur Tu Merā Charwaahā

Zabur 23

Allaah taa’alā merā charwaahā[a] hai,

islie mere paas har wo cheez hai jiskī mujhe zarurat hai.(1)

 

Womujhe hariyaalī me āraam karaatā hai,

aur mujhe us jagah par le kar jaatā hai jahaaṅ maiṅ sukun se paanī pī saktā huṅ.(2)

 

Womerī ruh ko taazā kar detā hai,

wo mujhe, apne naam kī izzat ke liye, nekī ke raaste par le kar jaatā hai.(3)

 

Agar maiṅ chal kar gayā, kisī aṅdherī ghaaṯī me,

to mujhe kisī bhī cheez se ḏar naheeṅ lagegā,

kyuṅki tu hai, mere saath, yā Allaah rabbul azeem.

Terā charwaahoṅ waalā ḏaṅḏā mujhe raastā dikhaatā hai jisse mujhe sukun miltā hai.(4)

 

Tune mujhe accẖā khaanā diyā,

mere dushmanoṅ ke saamne.

Tune apnī rahamat mere upar uṅḏel dī;

tune itnā diyā ki mere liye bahut hai.(5)

 

Sach hai ki terī accẖaaī aur raham dilī mere saath saarī umr rahegī

aur maiṅ tere ghar me hameshā rahuṅgā.(6)