Beebī Haajirā Aur Ismaaeel(a.s) (Taurait : Ḳḥilqat 21:9-21)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Beebī Haajirā Aur Ismaaeel(a.s)

Taurait : Ḳḥilqat 21:9-21

Beebī Saarah ne Misrī beebī Haajirā ke beṯe ko dekhā, jis ko usne Ibraaheem(a.s) ke liye paidā kiyā thā,(9) to Ibraaheem(a.s) se kahā, “Tum is naukraanī aur uske bacche ko yahaaṅ se dur bhej do taaki wo mere laḍke kī jaaydaad me se hissā nā maaṅge.”(10) Ibraaheem(a.s) ko ye baat bahut burī lagī kyuṅki wo bhī unkā beṯā thā.(11) Allaah taa’alā ne Ibraaheem(a.s) se kahā, “Tum apne beṯe aur naukraanī ke liye pareshaan mat ho, tum wahī karo jo Saarah tumse kah rahī hai. Ishaaq se hī tumhaarī pushteṅ chaleṅgī.(12) Aur jahaaṅ tak Ismaaeel naukraanī ke beṯe kī baat hai, maiṅ us se bhī ek baḍī qaum paidā karuṅgā, kyuṅki wo tumhaarī aulaad hai.”(13)

Ibraaheem(a.s) dusrī subah jaldī uṯh gae aur beebī Haajirā ko safar ke liye roṯī, paanī, aur zarurī saamaan diyā aur bacchā un ke hawaale kar diyā. Wo wahaaṅ se chalī gayeeṅ aur beershebā ke registaan me bhaṯakne lageeṅ.(14) Jab unkā paanī ḳḥatm ho gayā to beebī Haajirā ne apne beṯe ko ek jhaaḍī me cẖupaayā(15) aur kaaphī āge chalī gayī ki wo Ismaaeel(a.s) ko dekh naheeṅ paayī. Wo bacche se dusrī taraf muṅh kar ke baiṯh gaeeṅ aur rone lagī ki “Maiṅ bacche ko aise martā naheeṅ dekh saktī.” Wo wahaaṅ baiṯh kar zor-zor se rone lageeṅ.(16) Allaah taa’alā ne bacche kī fariyaad ko sunā aur phir farishte ne beebī Haajirā ko Allaah taa’alā kā paiġaam sunaayā aur kahā, “Tum kyuṅ pareshaan ho? Tum ḏaro naheeṅ, maine bacche kī pukaar sun lī hai.(17) Jaao aur bacche kā haath pakaḍ kar usko uṯhaao. Maiṅ us se ek bahut azeem kaum banaauṅgā.”(18)

Jab Allaah taa’alā ne uskī āṅkheṅ kholī to use saamne paanī kā ek kuaaṅ dikhaaī diyā. Unhone peene ke liye paanī bharā aur bacche ko bhī pilaayā.(19) Allaah taa’alā kī nazar aur karam us bacche par thī.(20) Wo registaan me bas gayā aur ek teera’aṅdaaz banā. Wo log Paran naamak ek registaan me bas gae aur Ismaaeel(a.s) kī maaṅ beebī Haajirā ne unkī shaadī ek Misrī laḍkī se kar dī.(21)