أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ
بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Auzu bilahi minaash shaitaan ar-raajeem.
Bismillah ar-rahamaan ar-raheem.
Allaah ne insaanon ki hidaayat ke liye asmaani kitaaben apne pyaare nabiyon par naazil farmaai thin. Ham sabis baat se waaqif hain ki Quraan Allaah ki bheji hui akhiri kitaab hai.
Isse pahale ki teen paak kitaabon me bhi Quraan ki tarah hidaayat bheji gayi jisko har insaan ke liye padhna zaruri hai.
Musalmaanon ke nuqta nazar se bahut kam Taurait, Zabur, aur Injeel ke tarjume maujud hain. Islie, is website par un teeno kitaabon ki kuch kuch ayaton ka tarjuma Quraan ki raushani me kiya gaya hai.
Ye afsos ki baat hai ki musalmaanon ne Taurait, Zabur, aur Injeel ko padhne aur samjhaane ki zimmedaari sirf Isaayon aur Yahudiyon ke upar chhod di hai. Hamaara in tarjumon ko karne ka khaas maqsad ye hai ki asmaani kitaabon ki hidaayat sab tak pahunchaai ja sake. Inshaallaah hamaari koshish zarur kaamyaab hogi. Ameen.